Padosi (neighbor) Kisi Bhi Mazhab Ka Ho, Uska Khyal - TopicsExpress



          

Padosi (neighbor) Kisi Bhi Mazhab Ka Ho, Uska Khyal Rakho =============== =============== Islam mein apne padosi ka bahut khyal rakhne ka hukm diya gaya hai, humko ye dhyan rakhna chahiye ke humse usko kisi tarah ki takleef na pahuche. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke - Wo insan muslim nahi ho sakta - (1) Jiska (koi garib padosi) bhooka so jaaye, aur usko apne padosi ki fikar na ho aur wo khud bhar pet kha kar so jaaye. (2) Jiski wajah se uska padosi dara hua, ya pareshaan rahta ho. Ek jagah ye bhi bataya gaya hai ke - Agar tumhara padoshi garib ho to, fruits/dry fruits kha kar uske chhilke (skin) bahar khule mein na feka karo, kahi aesa na ho ke garib padosi ke bacche usko dekh kar dukhi (gam-geen) ho jaaye. Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.
Posted on: Wed, 10 Jul 2013 10:42:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015