Parda krna har musalman aurat per FARZ hai , khaas taur per apne - TopicsExpress



          

Parda krna har musalman aurat per FARZ hai , khaas taur per apne sitr (wo aaza jin ko chupana farz h ) ko kisi gair mahram ( jis se hamesha k liye nikah jaiz na ho )se chupana. wo kon se aaza hain jin ko chupana FARZ hai? wo ye hain : Poora badn sirf maun ki tikli , hatheli kai aage aur peeche ka hissa aur paaoon k talwon k aage aur peeche ka hissa. Is k ilawa agar koi bhi hissa khul gaya to ye HARAAM E QATEE hai. Sirf scarf bandh kar three-quarter ya half sleeves pehan kar ghar se bahar nikal jaane ka utna hi gunah milay ga jitna baghair scarf k jaane ka milta h. ALLAH TAMAM BALIGH LARKIYON AUR AURTON KO SAHIH TARAH SE PARDA KARNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYE (AMEEN )
Posted on: Sat, 17 Aug 2013 04:32:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015