Plz Be Noted : Muharram Me 9vi Aur 10vi Ke Roze Ki Fazilat - TopicsExpress



          

Plz Be Noted : Muharram Me 9vi Aur 10vi Ke Roze Ki Fazilat Shab-E-Aashura Ki Nafil Namaz Ki Fazilat 9vi aur 10vi Muharram Dono Din Roza Rakhe & Agar Na Ho Sake To Aashura Hi Ke Din Roza Rakhe Is Roza Ka Sawab Bahut Bada Hai (Muslim) AASHOORA KI RAAT KE NAFL: Aashoora ki raat ke mutalliq bhut Namazen Aayi hai . (1)Jo shakhs is raat main 4 Rak,at Namaz padhe ke har Rakat me ا لحمد شر یف ke baad 50 baar قل ھو ا للہ ا حد padhe tu ALLAH TAALA us ke 50 saal ke pehle or 50 saal baad ke Gunaah bakhsh deta hai or us ke liye Malay Aala me 1 hazaar Mahal tayyaar karta hai . (ما ثبت من ا لسنۃ ص ۱۶ ، غنیۃ ا لطا لبین جلد ۲ ص ۵۴) (2)Isi raat 2 Rakat Nafl Qabr ki Roshni ke waaste padhi jati hai jin ki tarkeeb ye hai ke har Rakat main ا لحمد شر یف ke baad teen teen Martaba قل ھو ا للہ ا حد padhe , Jo Aadmi is raat me ye Namaz padhe ga to ALLAH TABARAKU TAALA Qayamat tak us ki Qabr Roshan rakhega . (جو ا ہر غیبی) AASHOORA KE DIN KE NAFL ..............................***.................... Huzoor Syedul Mursaleen sallAllahu Taala Alaihi wasallam ne farmaya : ke Jo Aadmi Aashoora ke Roz 4 Rak,at Namaz padhe ke har rakat me سو ر ۂ فا تحہ Aur قل ھو ا للہ ا حد 11 / 11 Martaba padhe tu ALLAH TAALA us ke 50 saal ke gunah bakhsh deta hai aur us ke liye 1 Noorani mimbar banata hai . (نز ہتہ ا لمجا لس جلد ۱ ص ۱۴۶)
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 00:05:22 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015