Q. Parmatma ke dwara hona ya parmatma ki shakti se hona... En dono - TopicsExpress



          

Q. Parmatma ke dwara hona ya parmatma ki shakti se hona... En dono mein kya fark hai? Ans: Bhagwan Krishana ne kaha Arjun ko Narayan ya Narayani Sena arjun ne chunav kiya Narayan Aap . There is difference in GOD and will of God or power of God or law of Gods. God him self is neutral and he dont do any thing everything is done by according to law of God, But God is still above of all . Suraj chand sitare jeev vayu aakash dharti aag paani en nau cheejon ko apne aap me samete huye yeh nirankar hi to hai jo har kaam ko anjaam de raha hai...sari prakriti sucharu roop se chal rahi hai eska hi to kaam hai esi ki hi shakti to hai. Sab kuch esi shakti or eski raza mein hi hota hai. Lekin Karam karne ki pardhanta nirankar ne hum ensano ko di hai. So ab ye humne dekhna hai k nirankar se prapat hui har shakti ka upyog kaise karna hai. Bhav Agar kisi ke haath mein chaaku hai or us chaku ko veh kisi ke pet mein maar deta hai. Ess ghatna mein nirankar se mili gayi shakti(chaku uthane aur maarne ki shakti) ka Insaan ne durupyog kiya hai. Agar Yahi veh us chaaku se fal kaat kar dusre insaan ko khilata hai. Uski bhookh ko shaant karta hai toh nirankar dwara di gayi shakti ka sadupyog kiya hai. Dono hi karmo ka shrey insaan ko jayega. Yadi woh yash payega toh apne karmo ke kaaran yadi saza paayega toh bhi apne karmo ke hi kaaran. Har maanav karm karne ke liye swatantr hai-woh chahe toh daan kar sakta hai, chahe toh chori. Iss aadhar par kisi bhi karm ka karta insaan swayam hai isliye har dharam insaan ko apne karm sudharna ke aadesh updesh deta hai. Insaan naitikta, prem aur shanti ki baaton ko ek kaan se sunta hai aur dusre se nikaal deta hai ya usse apne vicharon tak lakar chod deta hai esiliye satguru kaha karte hain ki- Baat Dil mein utari nahi aur guftaar hui jaati hai Ess avastha mein woh insaan accha updeshak aur vakta toh ho jata hai lekin uska vyavhaar waise ka waise hi bana rehta hai. Yahi karan hai ki parmatma ke sarvyapak aur sarvshaktimaan hote hue bhi bhrashtachaar aur atyachaar chalte rehte hain. Ek sawal aur uthta hai ki yadi har karm ka karta swayam insaan hai toh yeh kyu kaha gaya hai ke Tu karta hai jagat ka Baat gehri hai, vastav mein yeh baat bhakton ke liye hai or bhakton ke dwara or bhakton se hi kahi hai. Saar ki baat yeh hai ki jo kartapan ke moh mein nahi padte yani raheem ji ki tarah aacharan karte hain ke Denhaar kou aur haiaise vyakti mehnat karne ke bavjud bhi naam ke lalach mein nahi padte. Yadi kisi karamvash shrey kisi aur ko mil jate toh bhi usse bhi prabhu ki marzi maankar sehaj bane rehte hai. aisi log hamesha anandit rehta hai. Aise poorn bhakt bahut kam hote hai aur sahi bhi hai kyunki kaha gaya hai ki Bahut kathin hai dagar panghat ki. Satguru kaha karte hain ki jaise kisi bank ka cashier bahut dhan aane par khush nahi hota aur bahut dhan nikale jaane par dukhi nahi hota kyunki usse pata hai ki dhan aaya hai toh bank mein aur gaya hai toh banka ka.usse toh uski salary hi milni hai. Yeh cashier aasakt nahi hai aur virakt bhi nahi hai kyunki woh apni duty nibha raha hai. wah anaskat hai. Insaan ko aisa hi jeevan jeena chahiye. Iska mool yehi hai ki Duniya ka har kaarya parmatma ki shakti se zaroor hota hai lekin karam karne ki pardhanta hum ensanoon ko mili hui hai. Source ✉ВВМ™ Group Kaun Kitna Jane
Posted on: Thu, 16 Jan 2014 03:51:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015