Qadr maa baap ki agar koi jaan lega}- { Apni jannat ko duniya me - TopicsExpress



          

Qadr maa baap ki agar koi jaan lega}- { Apni jannat ko duniya me hi pehchan lega }- **{ Maa }** Kal jab ham chote the aur koi hamari baat samajh nahi pata tha, tab aik hasti thi jo hamare tu te phoote alfaz bhi samajh jati thi. Aur aaj ham usi hasti ko ye kehte hai: • Aap nahi jante, • Aap nahi samajh payengi, • Aap mere mua’mlat me na bole, • Aap ki baten mujhe samajh nahi aaten. Is hasti ki qadar Karen is se pehle k ye rishta khatam ho jaye Aik muddat se meri Maa nahi soyi Tabish Mai ne aik baar kaha tha, Mujhe dar lagta hai. **{ Walid ki Faryad }** • Budha hogaya hun me thoda waqt de diya kar, • Baith kar do char hi sahi per mujh se baten kiya kar, • Tu hi meri lathi hai tu hi meri hi raoushni, • Kuch pal k liye sath mere rasta tay kiya kar, • Mar jaunga aik din chala jaunga chhod kar tujhe, • Jo bachi huwi hai Zindagi sahab, • lamhe kuch mere liye bhi rakha kar. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: k mai Jannat me Dakhil huwa to mai ne suna k waha koi shaksh Quran Pakki Tilawat kar raha hai Jub mai ne Dariyaft kiya k Qirat koun kar raha hai? to Farishton ne bataya k Aap k sahabi Haris bin Noman hai, Huzoor s.a.w ne Farmaya k aye Mere Sahabiyon! Daikh lo naiko kar aur Aisa hota hai, Acche salook ka badla Hazrat Haris bin Noman R.A sab Logon se zyada Bahtareen sulook Apni Maa k sath karte the.(Mishkat). Allah Tala Ham Sab ko Apne Waldain ka Farmanbardar banaye Aameen.
Posted on: Sun, 18 Aug 2013 02:12:31 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015