∗ Qayamat Ke Roz Hasrat …. » Hadees : Farmaan-e-Musta fa ﷺ - TopicsExpress



          

∗ Qayamat Ke Roz Hasrat …. » Hadees : Farmaan-e-Musta fa ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke, “Sab Se Ziyadah Hasrat Qayamat Ke Din Uss (Shakhs) Ko Hogi Jisay Duniya Me Ilm Haasil Karne Ka Mouqa Mila Magar Usne Haasil Na Kiya Aur Uss Shakhs Ko Hogi Jis Ne Ilm Haasil Kiya Aur Dosron Ne Toh Uss Se Sun Ker Nafa (Yaani Amal Ker Ke Faidah) Uthaaya Lekin Uss (Shakhs) Ne (Khud) Na Uthaya (Yaani Apne Iss Ilm Per Amal Na Kiya)”. - (Tareekh-E-Dami shq, Jild: 51, Page: 138, Matbooa: Daar-Ul-Fiker, Berut – Lebanon) » Wajahat : Mazkoorah Baala Hadees Se Jahan Ilm Ki Ahamiyat Pata Chali Wahin Ilm Haasil Na Karnay Aur Haasil Shudah Per Amal Na Karnay Ki Wa’eed Bhi Pata Chali. Ye Bhi Pata Chala Ke Allah Ke Izn-O-Ataa Se Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Sirf Duniya Ke Hi Nahi Balkay Qiyaamat Ke Bad Hone Wale Muaamlaat Bhi Jante Hain. » Dua : Aye Parwardigara! Hame Bhi Ilm-e-Nafay Ataa Farma Aur Apnay Ilm Per Amal Kernay Ki Taufeeq Ataa Farma, Aameen!!!!
Posted on: Tue, 24 Sep 2013 11:28:18 +0000

Trending Topics



eft:0px; min-height:30px;"> CLINICAL ENGINEER CONSULTANT - Medical and Laboratory Equipment
::GONZALO BUSTAMANTE TE CANTA LAS 40. Defensa Pasión estuvo con

Recently Viewed Topics




© 2015