“Quraan Me Por (Finger Prints) Ki Kyun Baat Ki ? ….” » - TopicsExpress



          

“Quraan Me Por (Finger Prints) Ki Kyun Baat Ki ? ….” » 1400 Saal Pahle Insani Finger Print Ki Alag Haisiyat Ka Bayan Sirf Quraan Se « »Allah Ta’ala Quraan Me Farmata Hai – Al-Quraan : Bismillah-Hirra hman-Nirrahim !!! “Kya Insaan Yeh Khayal Karta Hai Ki Ham Uski Haddiyon Ko Hargiz Ikhat’ta Nahi Karenge’ Kiyon Nahi ! Ham Toh Uss Baat Par Bhi Qaadir Hain Ke Uski Ungliyon Ke Poron(Finger Print) Tak Ko Durust Kar Denge” (Surah: Al’qayamah :Ayet # 3/4). » Sabak : Quraan Me Allah Ne Por (Finger Prints) Ki Kiyon Baat Ki ? 1980 Me Sir France Golt Ne Tahqeeq Sar Anjaam Di Aur Us Tahqeeq Ki Raushni Me Finger Prints Ko Shanaakht(Ident ity) Ka Ek Ek Science Tareqa Qarar Diya Gaya Tha. Dunya Bhar Me Koi Bhi Do Shakhs Ke Ek Jaise Finger Print Nahi Hote, Yahan Tak Ki Judhwan Paida Hone Wale Bachche Bhi Ek Jase Finger Prints Ke Hamil Nahi Hote. Yahi Wajah Hai Ki Dunya Bhar Ki Police Mujrimo Ki Identity Ke Liye Finger Print Ko Ahmiyat Deti Hai. 1400, Saal Pahle Insani Finger Print Ki Iss Alag Haisiyat Ko Kaun Janta Tha ? Saaf Zahir Hai Ke Iss Haqeeqat Ko Dunya Ko Banane Wale Ke Siwa Aur Kaun Ho Sakta Hai. Sirf Allah Rabbul Aalameen Hi Iss Haqeeqat Se Waqif Tha, Aur Ussi Parwardigar ne Hamare Pyare Nabi-e-Paak ke Jarye Iss Duniya tak yeh Azim Paigaam Pohchayi . Siddiq
Posted on: Wed, 28 Aug 2013 17:40:48 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015