Raanjhana Engineering student version----------- ""Bass.. Bass - TopicsExpress



          

Raanjhana Engineering student version----------- ""Bass.. Bass itni hi kahaani thi meri..Ek kitab thi jise maine semester bhar chhua nai tha.ek kuch teachers the jo abhi bhi iss ummeed me the ki shayad launda pass ho jaye.do roomie the jo pagal the.Ek aur kitab thi jo course ki nai thi jise mai 3 baar padh chuka tha.mera lappy tha, mobile tha,daru ki bottlen thi, aur ye ek dimag tha jo hamara sath chhod chuka tha, aur ye ek hamara dil tha jisme ab bhi himmat baki thi.hum padh sakte the, par kiske liye, hum fod sakte the par kiske liye.mere dost, hostel, college ki galiyan, sab mujhse chhut raha tha, par rakh bhi kiske liye lete. mere dil ki takat ya to mujhe pass kara sakti thi ya meri watt laga sakti thi... par sala ab padhe kaun,kaun fir se mehnat kare xerox karane ko, notes rataneko.abe koi to awaaz deke rok lo,ye faculty jo class me har roz hamari lete rehte hain, aaj bhi agar theek se padhaye to mahadev ki kasam top karjayen...par nahi, ab sala mood nai hai,kitab band kar lene me hi such hai, notes rakh dene me hi bhalai hai. Par uthenge kisi roz, back papers clear karwane ko, b.tech pass ho jane ko, garv se engineer kehlane ko..!!””
Posted on: Wed, 28 Aug 2013 22:13:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015