Ramzan Ki Ahmiyat (importance) - TopicsExpress



          

Ramzan Ki Ahmiyat (importance) ====================================== Ramzaan Bahut barkato aur rahmato ka mahina hai. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki agar meri ummat ko iski ahmiyat pata chal jaaye to wo chahege ki saara saal hi ramzaan jesa ho jaaye. Is mahine mein 1 neki ke badle 70 neki likhi jaati hai. Gunahgaro ke gunah Allah maaf karta hai. Shaitan ko ked kar diya jaata hai. Is mahine ki ahmiyat isi baat se lag jaati hai ki Allah ne saari Aasmaani kitabe (Toret, Zubur, Injeel, Quran) Ramzan ke mahine mein utari. Quran loh-e-mehfuz se duniya waale aasmaan par pura ka pura isi mahine mein utara gaya aur waha se 23 saal mein thoda-thoda haalat ke hisab duniya mein bheja gaya. Hazrat Ibrahim (alyhissalam) ke sahife isi mahine ki 3 taarikh ko utaare gaye. Hazrat Daud (alyhissalam) ko zubur 18 ya 21 ramzan ko mili, Hazrat Musa (alyhissalam) ko Toret 6 ramzan ko di gai, Hazrat Eesa (alyhissaslam) ko injeel 12 ya 13 ramzaan ko di gai. Sochne waali baat hai ki Allah ko ramzan ka mahina kitna pasand hai ki bade-bade kaam isi mahine mein kiye. Isliye hum bhi is mahine ki ahmiyat ko samjhen aur Allah ki ibadat karke, roze rakh kar iska pura faida uthaye. Allah hum sabko bhi is mahine ki ahmiyat samajhne aur iska haq ada karne wala bana de. Aameen. Admin 02
Posted on: Sun, 30 Jun 2013 08:37:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015