Random verse on visiting Agra I Mumtaz called! Off to Agra - TopicsExpress



          

Random verse on visiting Agra I Mumtaz called! Off to Agra II Agra pahuch Yamuna kinare jab pahuche hum, ek alag si hawa thi, thodi thandi, thodi nam. Phir khyaal aya, roz iss paar se uss paar guzar jaate hae hum. (Delhi- Noida daily) Yamuna abb bhi zinda hae. shayd mere andar he kuch marr gaya hae. Jaruri hae ek punarjanam! III If Yamuna is dead The spirit flows Close your eyes and you can hear it roar. IV Mumtaz mili dua salam hui usne kaha iss sangae marar se azaad kar do. Shayad Radha meri saheli ban jaaye Mujhe Barsaane chodh do. V On whether I gave a lift to Mumtazs spirit Hamari kya aqaut Kitne sahe honge Mumtaz ne jhakm, Ishq ki misaal. Lekin kisne poocha uske dil e haal. Buss rahi ek hawas ka shikar Aur duniya kheti hae. Waah Taaj Ishq baemisaal. Aaj bhi Mumtaz hae buss ek shikaar. Auraat ka kya hae haq Agar woh kar sakti hae ishq toh uski saaza hae woh ek charpai ban jaye jiska man chahae usee loot jaaye. Hum to buss honsala dene ayae hae. Utho aur beh jao Yamuna mae abb bhi paani hae Yae dastaa purani sahi Abb bhi zinda hae kahi. Shyam
Posted on: Sun, 26 Jan 2014 16:13:06 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015