Ranjhana Movie dialogue edited in AK style.. Bas Itni Hi - TopicsExpress



          

Ranjhana Movie dialogue edited in AK style.. Bas Itni Hi Kahaani Thi Meri, Ek Desh Tha Jo Lut Raha Tha.. Ek Kuch Feku Supporter The Jo Abhi Bhi Iss Umeed Me The Ki Shayad Modi Sab Sudhar De Ek Supporter Tha Jo Pagal Tha.. Ek Aur supporter Jisne Apna Sab Kuch Haar Diya Tha Mujhpe.. Meri Maa Thi, Baap Tha, Banaras Ki Galiyaan Thi Aur Yeh Ek Hamaara Shareer Tha Jo Desh Ke Liye Kurban Ho Chuka Tha . Yeh Mera Seena Jisme Vatan Ke Liye Aag Baaki Thi.. Hum Ruk Sakte The Par Kiske Liye.. Hum Has Sakte The Par Kiske Liye.. Mera Desh , Banaras Ki Galiyaan, Nadiya, Talab, Khaniz Sab Lut Rahe The ... Mere Seene Ki Aag Yaa Toh Mujhe Jita Kar Sakti Thi Ya Fir Mujhe Hara Sakti Thi, Par Saala Ab Ruke Kaun, Kaun Phir Se Desh Ko Lutne De In Gundo ke Hatho, Abe Koi Toh Aawaj De KeRok Lo, Ye Jo Ghag Neta hai Jhunti Hamdardi Liye Baithe Hai Bagal Me, Aaj Bhi Janlokpal Pass Kar De Toh Mahadev Ki Kasam Waapas Aa Jayen Par Nahi Ab Saala Mood Nahi, Ato Gareebo Ke Haq Ke Liye Ladne Me Hi Sukh Hai, Soe Logo ko Jagaane Me Hi Bhalayi Hai, Par Uthenge Kisi Din Ussi Ganga Kinare Damru Bajane Ko, Unhi Banaras Ke Galiyo Me Daud Jaane Ko, Vatan Ke Ishq Me Phir Se Padh Jaane Ko...
Posted on: Sun, 11 May 2014 17:41:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015