Rasool’Allah Ka Insaaf Har Ek Ke Liye Barabar Hikayat : Hazrat - TopicsExpress



          

Rasool’Allah Ka Insaaf Har Ek Ke Liye Barabar Hikayat : Hazrat Aayesha (Radi Allahu Anha) Se Rivayat Hai Ki, Hazrat Usama (Radi Allahu Anhu) Ne Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ek Aurat Ki Sifarish Ki (Jisne Chori Ki Thi) To Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Tum Me Se Pahle Ke Log Is liye Halaaq Ho Gaye Ki Wo Kamzoro Par To Had (Saza) Qayam Karte The Aur Buland Martaba Logo Ko Chhorr Dete The. Us Jaat Ki Qasam Jiske Haath Me Meri Jaan Hai! Agar Fatima (Radi Allahu Anha) Ne Bhi Chori Ki Hoti To Main Uska Bhi Haath Kaat Leta”. - Sahih Bukhari, Vol 8, 6787 (Urdu Reference) - Sahih Bukhari Vol 4, Book 056, Hadith Number 681 (English Reference)
Posted on: Mon, 01 Jul 2013 07:22:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015