Roza Rakhne Waale Se Allah Ki - TopicsExpress



          

Roza Rakhne Waale Se Allah Ki Mohabbat ================================= Ek baar Musa (alyhissalam) ne Allah se pucha "Aye Allah, tune mujhe ye izzat bakshi hai ki main tujhse direct baat kar sakta hu, kyatune ye khaas baat kisi dusre ko bhi di hai? Allah ne farmaya - Aye Musa, aakhri waqt me main ek ummat ko bhejuga, jo Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki ummat hogi, uske (roza rakhne ki wajah se) sukhe hont, acchi baat kehne waali zaban, kamzor badan, kamzori se dhansi hui aankhe, sukha kaleja, bhooka pet hoga, wo mujhe pukarenge (dua me) to wo mere bahut zyada kareeb honge, tumse bhi zyada. Aye Musa (alyhissalam) jab tum mujhse baat karte ho to tumhare aur mere beech me 70,000 parde hote hain, lekin iftaar (roza kholne ke waqt) hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki ummat ke roz-daro aur mere beech ek parda bhi nahi rahega. Aur meri ye zimmedari rahegi ki main un roz-daaro ki ek bhi dua khali na jaane du. Allahuakbar, bhaiyo-bahno roza rakhne waali ummate Muhammadiya (sallallahu alyhiwasallam) ke liye Allah ki mohabbat ko dekhiye, agar iske baad bhi koi roza na rakhe to wo bahut bad- kismat hai. Allah roz-daar ki har dua sunta hai,basharte wo dua insan ke haq me behtar ho. Allah jitna humse muhabbat karta hai, humko us muhabbat ko samajhne wala bana de, aur ramzan ke pure roze rakhne ki taufik ataa kare, Aameen...
Posted on: Tue, 09 Jul 2013 11:42:15 +0000

Trending Topics



>

Recently Viewed Topics




© 2015