Roza Rakhne Waale Se Allah - TopicsExpress



          

Roza Rakhne Waale Se Allah Ki Mohabbat =============== ================== Ek baar Musa (alyhissalam) ne Allah se pucha "Ae Allah, tune mujhe ye izzat bakshi hai ki mein tujhse direct baat kar sakta hu, kya tune ye khaas baat kisi dusre ko bhi di hai?Allah ne farmaya - Ae Musa, aakhri time mein main ek ummat ko bhejuga, jo Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki ummat hogi, uske (roza rakhne ki wajah se) sukhe hont, acchi baat kehne waali zaban, kamzor badan, kamzori se dhansi hui aankhe, sukha kaleja, bhooka pet hoga, wo mujhe puka-renge (dua mein) to wo mere bahut zyada kareeb honge, tumse bhi zyada. Ae Musa (alyhissalam) jab tum mujhse baat karte ho to tumhare aur mere beech mein 70,000 parde hote hain, lekiniftaar (roza kholne ke time) hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki ummat ke roz-daro aur mere beech ek parda bhi nahi rahega. Aur meri ye zimmedari rahegi ki mein un roz-daaro ki ek bhi dua khali na jaane du. Allahuakbar, bhaiyo-bahno roza rakhne waali ummate Muhammadiya (sallallahu alyhiwasallam) ke liye Allah ki mohabbat ko dekhiye, agar iske baad bhi koi roza na rakhe to wo bahut bad- kismat hai. Allah roz-daar ki har dua sunta hai, basharte wo dua insan ke haq mein behtar ho. Allah jitne humse muhabbat karta hai, humko us muhabbat ko samajhne wala bana de, aur ramzan ke pure rakhne ki taufik ata kare, Aameen. Shuned
Posted on: Thu, 04 Jul 2013 14:52:27 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015