SAWAAL: Sahih Bukari ki hadees meiN QUSTUNTUNYA ki jang meiN - TopicsExpress



          

SAWAAL: Sahih Bukari ki hadees meiN QUSTUNTUNYA ki jang meiN shirkat karnay waaloN ke liye jannat ki basharat hai,,kya yazeed is jung meiN shareek tha?? JAWAAB: Sahih Bukhari ki hadees : meri ummat ka PEHLA lashkar jo qaisar par hamla karayga us kay liye maGferat hai Yazeed nay is lashkar meiN shirkat nahiN kii thii.balkay yazeed saatweN lashkar meiN tha. SHAREH E SAHIH BUKHARI IMAM BADRUDDIN AINI rh aur Hafiz Ibn e Kaseer nay is ki tafseel is tarah bayaan ki hai: Amir muawiya nay ruum par lashkar tayyar kiya aur yazeed ko is lashkar meiN shirkat ka hukm diya toh yazeed baiTha raha aur us nay heelay bahanay shuru kar diye.us jang meiN logoN ko bhuuk pyaas aur saqt beemari nay ghair liya toh yazeed khush hua aur shayr kaha: Mujhay is ki koi parwaah nahi ke is lashkar meiN shaamil logoN ko bukhaar,tangi aur balaaoN nay ghair liya jab ke maiN dayr e muraan meiN uunchi masnad par takya lagaye Umm e Kulsuum ko apnay paas liye baiTha tha (Umm e kulsuum was name of his wife) Amir muawiya ko yazeed kay aisa kehnay ki qabar mili toh unhoN nay qasam khayee ke ab maiN zarur yazeed ko wahaaN bhejuNga taa kay usay bhi woh museebateN pohoNcheN jo duusroN ko pohoNchi.. *******Yazeed ko ba taur saza wahaaN bheja gaya na ke jihaad ke liye(as a punishment Yazeed was sent there not for Jihad) ----------------------------------------------- Summary details about the armed expeditions: ► First attack on Caesars city was in 42 hijri. Second attack was in 43 and Hazrat Bosr ben ABI Arka was the leader of this army. ► Third attack was in 44 and this was led by Abdurehman ben Khalid ben Waleed. The next attack was in 46 hijri which was led by Maalik ben Abdurehman and Abdurehman ben Khalid ben Waleed. ► In 47, next attack was led by Maalik ben Hobaira and Abdurehman ben Qaiymi. In 49 hijri the rome was attacked for 3 times. and Lastly yazid was in attack of 50 hijri. A4
Posted on: Wed, 13 Nov 2013 09:14:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015