SAWAL : Iman Kise Kahte HaiN? >>JAWAB :- Allah Ta’ala ki - TopicsExpress



          

SAWAL : Iman Kise Kahte HaiN? >>JAWAB :- Allah Ta’ala ki Wahdaniyat Aur Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi wasallam) Ki Risalat Ka Zaban Se Iqrar,Aur Dil Se Tasdeeq Karna Iman Kaihlata Hai.Neez Ye Bhi Zaruri Hai Ke Nabi-e Kareem (Sallallahu alaihi wasallam) Ki Batayi Tamam Bato’n Ki Tasdeeq Ki Jaay. . • SAWAL:-Kufr Kise Kahte HaiN? >>JAWAB:- Islami Aqaid Ke Khilaf Koi Aqeedah Rakhna,Ya Islam Ki Kisi Mash’Hoor-o Maloom Baat Ka Inkar Karna,Ya Us Me Shak Karna,Jaise Namaz,Roza,Zakat,Ya Hajj Ko Farz Naa Jaanna,Ya Kisi Sharae’e Hukm Ka Mazaq Udhana,Ya Mazaq Me Koi Kufriya Jumla Bolna,Ye Sab Baten Kufr HaiN. Admin Javed Barkati
Posted on: Thu, 09 Jan 2014 16:46:36 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015