SHAITAN KI MEETING? MAI QAID HONE WALA HUN TUM IS MAHINE ME - TopicsExpress



          

SHAITAN KI MEETING? MAI QAID HONE WALA HUN TUM IS MAHINE ME MUSALMANO KO BEHKAATEREHNA TV, FACEBOOK, YOUTUBE…. (PLZ EK MARTABA GHAUR SE PADHYE) Tajjub hai Hum log ROZE me Halaal Cheezo yani Khane, peene se to Ruk jaate hai magar Hum Roze ki Halat me Haraam Cheezon se ehtyaat nahi karte. Jhoot, Ghebat , choghli, behuda, behaya baaten karna ye Har Waqt Haram hai magar Hum in baato ko Roze me bhi karte hai. Haalaanke ROZE ka Maqsad ye hai ke Hum Me Taqwa paida hojaye aur Taqwa ye hai k Insan Gunah se bach jaye. To hamare aisa karne se Roze ka Maqsad hi faut hojara. Zara sonche Ek Sugar ka Mareez hai wo DAWA time pe khara magar Sath me wo Parhez nahi karra, meethe ke Istemal se nahi rukra to kya aise Mareez Ko SHIFA milegi.?? Usi tarah hum Ibadat kar rahe hai magarGunaho se parhez nahi kar rai? To kya hum MUTTAQI banenge? Halanke har Ibadat ka Maqsad GUNAH se bachna hai. Halanke Ahadis me to ye aya hai. Ap(sallallahu alaihi wasallam ) ne farmaya 1.Roza Dhaal hai.Jab tumme se koi Roza ho to Behayai ki baten na kare or Shor na kare.Agar koi Use Gaali de ya usse Ladai Jhagda kare to kehde ME ROZE DAR HU. (BUKHARI) 2.Bhot se RozeDar aise hai k unko Roze k Natije me Siwae Bhooke rehne k kuch hasil nahi (NASAI) ab hum sonche or pichle gunaho se tauba karen aur koshish karen ke har BEHAYA cheez nahi dekhenge. behaya baato se bachenge. yaad rakhe ankh se dekhna ANKH ka zina. kaano se gaane sunna kaan ka zina..... Facebook, Youtube , Tv ko ziada se ziadachordne ki koshish karen. Apne Auqaat ko Ibadat me guzaren
Posted on: Sat, 13 Jul 2013 17:23:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015