Shaban islami saal ka 8wa mahina hai. Is mubark mahine mai allah - TopicsExpress



          

Shaban islami saal ka 8wa mahina hai. Is mubark mahine mai allah paak apne momin bando ki nizat ka saman farham farmata hai. Is Mubarak mahine barkate hashil karne ke liye allah ke pyare rasul Mustafa-jane-alam-sallallaho-alaye-wa-sallam ne farmaya- Shaban mera mahina hai, rajab allah ka mahina hai aur ramzan meri ummat ka mahina hai. Shaban gunaho ko duur karne wala aur ramzan gunaho se paak karne wala mahina hai. Rajab wa ramzan ke bich mai shaban ka mahina hai. Log uski qadar nahi karte halaki is mahine mai bando kea mal allah ke darbar mai pesh kiye jate hai, isliye mai pasand karta ho ki meri amaal allah ke darbar mai jab pesh ho to mai roze se ho.
Posted on: Mon, 24 Jun 2013 02:14:36 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015