Shirk Se Jo Bacch Gaya Uske Liye Aman Aur Salamati….. ♥ - TopicsExpress



          

Shirk Se Jo Bacch Gaya Uske Liye Aman Aur Salamati….. ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Jo Log Emaan Laye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Pane Wale Log Hain”. – (Surah 6 Al-An’am, Aayat-82) » Tafsir : Iss Aayat Ke Sabab Hazrat Abdullah Bin Mas’ud (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Ne Farmaya Ke, Jab Yeh Aayat (Surah 6 Al-An’am, Aayat No 82) Nazil Hue Toh Hum Log Pareshan Ho Gaye Ke,“Koun Hai Jisne Apne Par Zulm Nahi Kiya Hoga?“, Toh Hum Log Nabi-e-Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ke Paas Gaye Aur Kaha Ke,“Koun Hai Jisne Zulm Nahi Kiya Hai”, Toh Nabi-e-Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya Ke, “Jo Tum Log Zulm Samajh Rahe Ho Waisa Nahi Hai! Zulm Se Murad Woh Zulm Hai Jo: Luqman Ne Apne Bete Ko Nasihat Karte Hue Kaha Ke Beta Allah Ke Saath Kisi Ko Sharik Na Karna, Shirk Toh Bada Zulm Azeem Hai (Surah 31 Luqman, Aayat No 13) ” » Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya, Iss Shirk Se Jo Bacch Gaya Toh Uske Liye Aman Aur Salamati Hai. - (Bukhari Sharif, Muslim Sharif) |javed|
Posted on: Sat, 19 Oct 2013 05:55:37 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015