Sufi order ki ebadad k kai tariqay hain, jinko dhikr kehtay hain. - TopicsExpress



          

Sufi order ki ebadad k kai tariqay hain, jinko dhikr kehtay hain. Sufi Whirling ek physical form of meditation hai. Is meditation ko (Sema ritual) kehtay hain. Aur jo meditaion kartay hain in Semazen kehtay hain. Yeh ritual inki ebadat k waqt kiya jata hai, jis say wo apnay nafs, khwahisaat say chuttkarah patay hain. Unka yeh kehna hai k jab wo raqs (whirling) kartay hain to uski significance planets ki tarha suraj (sun) ki gardish ki manind hai, jaisay k hamaray solar system may hota hai. Easa karnay say wo apnay apko Allah k hawalay kartay hain. Inkay whirling ka jo libas hai aur tariqa hai wo bhot meaning rakhta hai. Is Sema ritual may jo topi (hat jisko sikki) kehtay hain, uski significance nafs k tombstone ki hai. (Sorry urdu may nhi pata tombstone ko kya kehtay hain). Inki sofaid kameez aur skirt kaffan ko represent karti hai. Aur jab yeh apna kala coat /cloak (jisko hirka kehtay hain) utartay hain to uski significance yeh hai k wo khuda ki sachai ki taraf barrh chukkay hain, phir say unki rebirth spiritually khuda ki sachai may hui hai. Semazen is ceremony k shurwat may apnay dono haath crosswise rakhtay hain jiska matlab hota hai k wo 1 Allah may yaqeen rakhtay hain aur uski khudai aur unity may yaqeen rakhtay hain. Jab wo gool ghoomtay hain to unki bahain (arms) khull jati hain, unka seedha (right hand) haath asmaan ki tarf hota hai jiska matlab hai k wo Allah ki barqatain laynay k liye tayyar hain, aur unk ulta haath (left hand) jis par unki nazar hoti hai wo zameen ki taraf hota hai. Iska matlab yeh hota hai k jo log yeh ritual daikh rahy hotay hain unky liye message hai k Allah apni blessings naimatoon ko apnay bandoon ko jo zameen par hain unko dayta hai. Semazen whirling right to left kartay hain q k ultay haath ki taraf (left side) insaan ka dill (heart) hota hai. Is ka matlab k wo duniya k sari makhlooq ko apnatay hain aur unsay muhabat kartay hain. Kiun k insaan pyar say baida hota hai aur pyar k liye paida hota hai. Jo bhi hai bas pyar say aya hai, pyar say hai, aur pyar say rehta hai, aur pyar he lay kar jata hai. Explain karnay ki koshih ki hai yahan, lakin mazrat chahtti hoon agar theek say samjha na saki. Umeed hai ghalatiyaan maaf karain gay. Yeh information may nay search kar k apky liye yahan paish ki hai.
Posted on: Sun, 19 Oct 2014 17:48:36 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015