(Sura-e-Baqara Madina mai Nazil hui, is mai doso-cheyasi (286) - TopicsExpress



          

(Sura-e-Baqara Madina mai Nazil hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain hain) 02.06Kafiron ko aap ka darana ya na daranabarabar hai yeh log eman na layen gay. 02.07Allah Taalaa ney inn kay dilon per aur inn kay kanon per mohar laga di hai aur inn ki aankhon per parda hai aur inn kay liye bara azab hai. 02.08baaz log kehtay hain kay hum Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain lekin dar haqeeqat woh eman walay nahi hain. 02.09Woh Allah Taalaa ko aur eman walon ko dhoka detay hain lekin dar-asal woh khud apney aap ko dhoka dey rahey hain magar samajhtay nahi. 02.10Unn kay dilon mein beemari thi Allah Taalaa ney unhen beemari mein mazeed barha diya aur unn kay jhoot ki waja say unn kay liye dard naak azab hai.
Posted on: Sat, 24 Aug 2013 04:18:43 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015