Surat Al-Aĥzāb (The Combined Forces) - سورة - TopicsExpress



          

Surat Al-Aĥzāb (The Combined Forces) - سورة الأحزاب (Sura-Ahzaab Makka mai Nazil hui, is mai tehattar (73) Aayatain hain) English and roman urdu translation page 6 بسم الله الرحمن الرحيم 51 You, [O Muhammad], may put aside whom you will of them or take to yourself whom you will. And any that you desire of those [wives] from whom you had [temporarily] separated - there is no blame upon you [in returning her]. That is more suitable that they should be content and not grieve and that they should be satisfied with what you have given them - all of them. And Allah knows what is in your hearts. And ever is Allah Knowing and Forbearing. 52 Not lawful to you, [O Muhammad], are [any additional] women after [this], nor [is it] for you to exchange them for [other] wives, even if their beauty were to please you, except what your right hand possesses. And ever is Allah , over all things, an Observer. 53 O you who have believed, do not enter the houses of the Prophet except when you are permitted for a meal, without awaiting its readiness. But when you are invited, then enter; and when you have eaten, disperse without seeking to remain for conversation. Indeed, that [behavior] was troubling the Prophet, and he is shy of [dismissing] you. But Allah is not shy of the truth. And when you ask [his wives] for something, ask them from behind a partition. That is purer for your hearts and their hearts. And it is not [conceivable or lawful] for you to harm the Messenger of Allah or to marry his wives after him, ever. Indeed, that would be in the sight of Allah an enormity. 54 Whether you reveal a thing or conceal it, indeed Allah is ever, of all things, Knowing. 55 There is no blame upon women concerning their fathers or their sons or their brothers or their brothers sons or their sisters sons or their women or those their right hands possess. And fear Allah . Indeed Allah is ever, over all things, Witness. 56 Indeed, Allah confers blessing upon the Prophet, and His angels [ask Him to do so]. O you who have believed, ask [ Allah to confer] blessing upon him and ask [ Allah to grant him] peace. 57 Indeed, those who abuse Allah and His Messenger - Allah has cursed them in this world and the Hereafter and prepared for them a humiliating punishment. 58 And those who harm believing men and believing women for [something] other than what they have earned have certainly born upon themselves a slander and manifest sin. 59 O Prophet, tell your wives and your daughters and the women of the believers to bring down over themselves [part] of their outer garments. That is more suitable that they will be known and not be abused. And ever is Allah Forgiving and Merciful. 60 If the hypocrites and those in whose hearts is disease and those who spread rumors in al-Madinah do not cease, We will surely incite you against them; then they will not remain your neighbors therein except for a little. urdu translation: 33.51 Inn mein say jissay tu chahaye door rakh day aur jissay chahaye apnay pass rakh ley aur agar tu unn mein say bhi kissi ko apnay pass bula ley jinhen tu ney alag ker rakha tha to tujh per koi gunah nahi iss mein iss baat ki ziyada tawakka hai kay inn aurton ki aankhen thandi rahen aur woh ranjeedah na hon aur jo kuch bhi tu enhen dey dey iss per sab ki sab razi rahen tumahray dilon mein jo kuch hai ussay Allah (khoob) janta hai. Allah Taalaa bara hi ilm aur hilm wala hai. 33.52 Iss kay baad aurten aap kay liye halal nahi aur na yeh (durust hai) kay inn kay badlay aur aurton say (nikkah keray) agarcheh unn ki soorat achi bhi lagti ho magar jo teri mamlooka hon. Aur Allah Taalaa her cheez ka (poora) nigehban hai. 33.53 Aey emaan walo! Jab tak tumhen ijazat na di jaye tum nabi kay gharon mein na jaya kero khaney kay liye aisay waqt mein kay uss kay pakney ka intizar kertay raho bulkay jab bulaya jaye jao aur jab kha chuko nikal kharay ho wahin baaton mein mashghool na hojaya kero. Nabi ko tumhari iss baat say takleef hoti hai. To woh lehaaz ker jatay hain aur Allah Taalaa (biyan-e-) haq mein kissi ka lehaaz nahi kerta jab tum nabi ki biwiyon say koi cheez talab kero to parday kay peechay say talab kero tumahray aur unn kay dilon kay liye kamil pakeezgi yehi hai na tumhen yeh jaeez hai kay tum rasool Allah ko takleef do aur na tumhen yeh halal hai kay aap kay baad kisi waqt bhi aap ki biwiyon say nikkah kero. (yaad rakho) Allah ka nazdeek yeh boht bara (gunah) hai. 33.54 Tum kissi cheez ko zahir kero ya makhfi rakho Allah to her her cheez ka ba-khoobi ilm rakhney wala hai. 33.55 Unn aurton per koi gunah nahi kay woh apnay bapon aur apnay beton aur bhaiyon aur bhatijon aur bhanjon aur apni (mail jol ki) aurton aur milkiyat kay matehaton (londi, ghulam) kay samney hon. (aurton!) Allah say darti raho. Allah Taalaa yaqeenan her cheez per shahid hai. 33.56 Allah Taalaa aur iss kay farishtay iss nabi per rehmat bhejtay hain. Aey emaan walon! Tum (bhi) inn per durood bhejo aur khoob salam (bhi) bhejtay raha kero. 33.57 Jo log Allah aur uss kay rasool ko ezza detay hain unn per duniya aur aakhirat mein Allah ki phitkaar hai aur unn kay liye nihayat ruswa kun azab hai. 33.58 Aur jo log momin mardon aur momin aurton ko ezza den baghair kissi jurum kay jo unn say sirzad hua ho woh (baray hi) bohtan aur sareeh gunah ka bojh uthatay hain. 33.59 Aey nabi! Apni biwiyon say aur apni shabzadiyon say aur musalmano ki aurton say keh do kay woh apnay upper apni chadaren latka liya keren iss say boht jald unn ki shanakht hojaya keray gi phir na sataee jayen gi aur Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai. 33.60 Agar (abb bhi) yeh munafiq aur woh jin kay dilon mein beemari hai aur woh log jo madiney mein ghalat afwahen uraney walay hain baaz na aayen to hum aap ko unn (ki tabahee) per musallat ker den gay phir to woh chand din hi aap kay sath iss (shehar) mein reh saken gay.
Posted on: Sat, 05 Jul 2014 13:30:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015