Syed Kalbe Naqi Shiyon ke Ehtijajaat ki Mukhtasar Tareekh aur - TopicsExpress



          

Syed Kalbe Naqi Shiyon ke Ehtijajaat ki Mukhtasar Tareekh aur Ulama ka Ittehad Aaj Shia Qaum ka bahot bara tabqa chahta hai ki Shia Ulama wa Zakereen mein ittehad ho. Yaqeenan yeh bahot hi paak o pakeeza khayal hai jiski qubulyabi ki dua hum bhi karte rahe hain. Dua karte waqt Zaruri hai ki, AAJ ko samjhne ke liye hamein apne guzrey hue KAL ko samajhna hoga. Shia Ulama mein kisi hudd tak ittehad 1969 aur 1974 ke Shia-Sunni fasadat ke kutch arse baad tak raha. 1977 mein, 21Rmazan ke Juloos par Yazeedi firqe ne hamla kiya jiske baad Hukumat ne ek baar phir Shia Julooson par pabandi laga dee. Shia leadership nei, Maulana Kalbe Abid Sahab se mashwira kiye bacghair, bajayey Protest karne ke, khud hi aaney waley Ashre ki tamam Bari Majlisein bund karne ka elan kar diya. Majlisey bund karne ka elaan karne ke baad beshtar Zakireen khud Lucknow se dusre Shahron aur Mulkon mein Majlis parhne rawana ho gaye. Marhoom Maulana Kalbe Abid sahab hasb e mamool Ashrey se ek din pehle Aligarh se Lucknow aaye to is faisle se bahot zyada afsurda hue.Shia Qaum juloos aur Majlisein bund hone se bahot naraaz thee. 5 -Moharrum, 1977 ko Shiyon ka ek bara majma Maulana Kalbe Abid Sahab ke paas aya aur Ghufranmaab mein Majlisein parhne par israr kiya lekin Maulana ne us faisle ki izzat rahte hue apne ghar par hi 6- Moharrum se Majalis parhna shuru kar deen. Dusre baras Qaum ke mazeed israr par Imambara Ghufraan maab mein Ashra phir se shuru kiya jiske baad Madrasa e Nazmiyan aur Shia College mein (jo majlis pehle Imambara Nazim Sahab mein hotee thee) Majalis ka silsila shusru ho gaya. Maulana Kalbe Abid sahib ne 10 Moharrum, 1977 se julooson par pabandi ke khilaf “Court Arrest” ka silsila shuru kiya. Unka ek mashoor jumla hai jo unhune 1984 mein Ghufraan mab ke Ashre ki Majlis mein kaha tha “ Hum guzashta 7 barson se ehtijaj karte aaye hain. Arrey abhi 7 baras hi hue hain. Hum kehte hain ki 7 naheen 70, balki agar 700 saal tak bhi Azadari ke julooson ki bahali ke liye ehtijaj karna parey to hum peechey naheen hatengey”. Ehtijajat ka silsila shuru ho gaya.Is darmiyan Sabse bara ehtijaj 1978 mein “Yaume Faisla” ke naam se hua jiske roohe rawa(n) Janab Maulan Kalbe Jawad Sahab, Janab Shakeel Shamsi Sahab, Yasa Rizvi Marhoom, Zulkifl Rizvi wa deegar naujawan the. Curfew tor kar Alam ke juloos nikaley gaye jismein Lucknow ka koi bhi Maulana shareek naheen hua. Shia Qaum ke naujawan Lucknow, Sitapur, Barabanki, Faizabad aur Unnao Jail bhej diye gaye. Unnao Jail mein Ali Congress qayem ki gayee jiske Sarparast Maulana Kalbe Abid Sahab aur President Maulana Kalbe Jawad sahib muntakhib hue. Ali Congress ne Maulana Kalbe Abid Sahab ki sarparasti mein ehtijajaat ka ek lamba silsila shuru kar diya. Shiyon ne Lok Sabha Election Boycott bhi kiya jiske baad Sanjay Gandi ne Maulana Kalbe Abid saaib ke naam ek khat likh kar Shiyon ke Juloos uthwane ka waada kiya. Shiyon ne boycott wapas liya aur Sheila Kaul Shia votes ki bina par( 30,000 votes se) election jeet gayeen. Afsos ki Sanjay Gandhi ka wo letter Shia Qaum ke ek bare leader ne apne paas rakh liya aur Maulana Kalbe Abid Sahab Marhoom ke baar brar mangney ke bawajood wapas na kiya. Janab Shakil Shamsi aur dusre naujawano ke rozgaar ki bina par Lucknow se chale jane ke baad Protests ka silsila kutch waqt ke liye ruk gaya lekin Yasa Marhoom ne Janab Javed Murtaza Sahab ko Ali Congress se jora jiski bina par ek baar phir protests ka silsila shuru ho gaya. Javed Sahab ko kaafi arse tak Jail mein rehna para. Jail se wapsi ke baad Javed Sahab ne tai kiya ki qanooni jung lari jayegee. Is faisley ke baad Ali Congress ne kisi qism ka protest naheen kiya.Rafta rafta Ali Congress ne dusre issues par apni tawajjo markooz kar de jiski wajah se Qaum mein kaafi ikhtelafat paida ho gaye. Rafta rafta, Ali Congress ke zyada tar original members , ba shamool; Maulana Kalbe Jawad Sahab ussey duur hote chale gaye April, 1977 mein 3 Shia Naujawano ne khud ko aag lagayi jissney Azadari movement mein ek baar phir nayi rooh phoonk dee.Maulana Kalbe Jawad sahab ne julooson par pabandi ke khilaf mohaz khol diya aur May, 1997 mein Janab Abdullah Bukhari Sahab ko Lucknow bulaya ki wo Shia-Sunni ke darmiyan sulah karwayen. Shiyon ki tamam leadership ne Abdulla Bukhari ka boycott kiya jabki Sunni leadership ne unke saath nehayat badtehzeebi ka muzahera kiya. 3 Jun, 1997 ko Abdullah Bukhari Marhoom, Maulana Qamar Minayi Marhoom (Sajjada nasheen Dargah Shah Meena) aur Maulana Kalbe Jawad sahab ko giraftar kar liya gaya jiske baad poori Shia Qaum sarkon par aa gayi aur Vidhan Sabha ka azimusshan gherao kiya gaya. Fauran hi Sarkar ko jhukna para aur teeno leaders riha kar diye gaye. 9 June, 1997 ko Maulana Jawad sahab ne apne ghar par tamam Anjumano ka Jalsa kiya jismein 115 Anjumanein shareek huien . Us Jalsey mein tai paya ki Hukumat ko Ultimatum diya jaye ki agar 18 Safar (24 June) tak pabandi naheen hat tee hai to tamam Shia, baroz e Chehlum (26 June 1997) 1 Baje din ko apne gharon se nikal kar Karbala Talkatora tak Alam ka Juloos le jayengey. Hukumat ne bahot daraya dhamkhaya lekin Qaum apne faisle par atal rahei aur Hukumat ne Shab e Chehlum se Curfew laga dia aur purane Lucknow ko Police Chahwni bana diya. Elan ke mutabiq Chehlum ke roz (26 June, 1997) Maulana Kalbe Jawad sahib theek 1 Baje apne ghar se Police ka ghera tor kar nikle. Us waqt tak taqreeban har Shia sarak par maujood tha (Siwaye Lucknow ke dusre Shia Ulama aur Zakereen ke jo apne gharon mein ghusey rahe). Police ne zabardast lathicharge, aansu gas aur hawa mein goliyan chalyeen lekin Qaum ko dara na sakee. Hazaron log Alam ka Juloos lekar Karbala Talkatora pohonch gaye.Police ne hazaron Mardon, Aurton (jinmein Maulana Kalbe Jawad sahib ke ghar wale bhi shaamil the) ko giraftar karke Police line le gayee . Hazaron ko der raat chor diya aur kai hazaar ko Sitapur, Unnao aur Lucknow Jail bhej diya. 28 June, 1997 ki subah 4 baje Maulana Kalbe Jawad sahib ko unke ghar se giraftar kar liya gaya aur unpar NSA (National Security Act) laga kar Lalit Pur Jail bhej diya. Maulana ki giraftari ki khabar jungle mein aag ki tarah phail gayee aur ek baar phir Shia curfew tor kar sarkon par aa gaye. Kai jagah hathgole aur banduq ki goliyan bhi chaleen. 2 Din baad Maulana ke Bhai aur kai Azizon ko bhi giraftar kar liya gaya uar unko 307 aur kai dusri sakht daf aat lagakar TADA ke khatarnaak mujrimon ke saath Lucknow Jail mein qaid kar diya gaya. Ab Shia Qaum Maulana ko riha karwane ke liye ehtijaj karne lagey. Aurton ne kamaan sambhal lee. Unhuney Hindu Aurton ka libas pehna aur ek Arthi ke saath Gomti River gayeen aur wahan se Boat par baith kari river cross karke DM aur CM ke gharon ka ghirao kar diya. Qaum ki aurtein gharon mein baithey Ulama aur Zakereen ke ghar unko sharm dilane gayeen (Ek par to Jootiyan bhi phenkeen aur Churiyan pesh keen). Jiske baad Ek Maulana ko chor kar sab ne teesre din apne ko giraftari ke liye pesh kiya aur Lucknow Jail mein panah lii. Dusre Shahron aur Mulkon mein zabardast protests hue aur elan hua ki agar 7 Rabi ul Awwal tak Maulana ko riha naheen kiya jata to dusre Shaher ke Shia 8 Rabi ul Awwal ko Lucknow par dhawa bol dengey. Hukumat haar gayee aur Maulana Kalbe Jawad Sahab wa deegar Shia Qaidiyon ko 8 July, 1997 ko riha kar diya gaya. 9 July, 1997 ke tamam akhbaraat nei headline lagayee “Hukumat ne Ghutne tehey, Maulana Kalbe Jawad Riha” Hukuma ne ek high level Committee nominate ki aur 3 mahine mein solution ka wada kiya. Hukumat ne Shia-Sunni leaders se muzakeraat ke baad ek Tripartite Agreement sign karwaya (Shia-Sunni-District Administration) jiske bad Shiyon ka pehla Juloos 21Ramzan ( January 1998) ke din utha aur Masha Allah Shiyon ko 9 Din apne juloos uthane ki ijazat mil gayee (1st, 7th, 8th , 9th and 10th Moharrum, Chehlum, 8th Rabiul Awwal, 19th and 21st Ramzan). Maulana Kalbe Jawad sahab ne ab Waqf ki properties azaad karwane ka beera utha ya jiski badaulat Imambara Sibtainabad, Alam Nagar ki 8 Beegha Zameen (jahan aajShia Colony ban gayee hai aur saikron Shia Abaad hain), Asafi Masjid ke pusht ke Zameen jis par LDA ne qabza kiya tha (aur jiski bina par Maulana par case bhi darj hua tha aur abhi kutch dino pehle withdraw kiya gaya hai). Maulana Kalbe Jawad Sahab ne 2 baras qabl Bahot se Senior Ulama ke saath Majlis Ulama e Hind ki bunyaad daali jo Shiyon ke huquq ki baazyabi ke liye jaddo jehed kar rahi hai. Is tanzeem mein bhi Lucknow ka koi bhi Aalim e Deen ya Zakir sahaamil naheen hai. Ooper likhey halaat se wazeh ho gaya hoga ki Lucknow ke taqreeban tamam Ulama wa Zakereen hazrat ne ab tak kisi Qaumi masaley mein Na to Maulana Kalbe Abid Sahab ka sath diya, na hi Maulana Kalbe Abid Sahab ka aur na hi Majlis e Ulama e Hind ka. Balki aksar o beshtar tahreek ko kamzor karne ki koshisen ki gayeen. Jabki Maulana Kalbe Abid Sahab aur Maulana Jawad saaib ne hamesahn Ulama ko saath aane ki dawat di (Maulana Kalbe Jawad Sahab to yeh bhi kehte hain ki main to Chota hoan Senior Ulama ko mujhe khud Hukm dena chahiye aur main unke peeche chalne par tayyar hoon). Ham chahte to naam bhi likh sakte the, lekin is mazmoon ka maqsad kisi ki dilazaari karna naheen hai balki sirf itna wazeh karna hai ki jin Ulama aur Zakereen Hazrat se hum ittehad aur Tehreek mein saath aane ki ummeed karte hain wo kabhi saath aaye hi naheen . Har ek ki apni majboori hai. Kisi ko administration se dar hai ya dosti rakhne mein faqhr mehsoos hota hai, kisi ko darr rehta hai kiLondon Amrika ka Visa naheen milega, kisi ko kisi khaas Siyasi Party ko jawab dena par jayega. Koi dil ka kamzor hai aur jisko na dar hai na khauf hai aur na hi kutch chahiye hai usko jalan wa hasad ki bimari hai. Ab aap hi bataiye aakhir ittehad ho bhi to kissey aur kaise ho? Aur agar phir bhi ittehad ki tamanna hai to Dua ke saath saath koi Dawa ka bhi intezam karein!!!!!!
Posted on: Sat, 24 Aug 2013 10:19:56 +0000

Trending Topics



,

Recently Viewed Topics




© 2015