TIGHT LIBAS/ BURQA PAHENNE WALI BEHNEN ZARA GHAUR - TopicsExpress



          

TIGHT LIBAS/ BURQA PAHENNE WALI BEHNEN ZARA GHAUR KAREN.... Hazrat Abu Huraira Razi Allahu anhu se Riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya ke “JAHNNAMIYO KE 2 GIROH MAINE NAHI DEKHE(MERE BAAD ZAAHIR HONGE) 1. KUCH LOG AISE HONGE JO BAILON KI DUMON KI TARAH KODEY LIYE PHIRTE HONGE JINSE WO LOGON KO (ZULMAN) MAARA KARENGE, 2.] Aisi Aurten hongi jo kapde pehne hue bhi NANGI hongi (ghair mard ko apni taraf) MAAel karne wali hongi, (uski taraf) Maael hone wali hogi, unke SAR aise (phule hue) honge jaise bade bade Oonto[camel] ke Jhuke hue KOHAAN hote hain, YE AURTEN JANNAT ME DAAKHIL NA HONGI AUR JANNAT KI KHUSHBOO (BHI) NA SOONGHEGI HALAAN KE JANNAT KI KHUSHBOO ITNI ITNI DOOR KI MASAFAT SE MEHSOOS KI JAATI HAI.” [MISHKAT 306, MUSLIM] NOTE:- uryaan AUR Chust(tight) LIBAAS PAHENNE WALI AURTEN ISs HADEES ME WARID SHUDAH WAEED PAR GHAUR KAREN. AaJ KAL BURQA HIJAAB NAHI ISS HADEES ME WAEED KA MISDAAQ HOGAYA KE GHAIR KO MAEL KARNE KE LIYE ISTEMAL HO RAHA HAI, ISLAMI HIJAAB ISTEMAL KAREN BURQA SEEDHA SAADHA AUR DHEELA DHALA ISTEMAL KAREN. AKHIRAT KI FIKR KAREN DUNYA AAKHIRAT KE MUQABLE AISI HI HAI JAISE SAMADAR KE MUQABLE ME SUI (NEEDLE) KE NAAKE ME PANI KA KHATRA. ALLAH TA’ALA HAME AKHIRAT KI FIKR ATA FARMAYE AUR BEHAYAI SE BACHAYE. AMEEN
Posted on: Sun, 24 Aug 2014 10:04:30 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015