TV or AZAAN Ka Safar>>>>>> Jab TV naya-naya aya tha tab Tv Chal - TopicsExpress



          

TV or AZAAN Ka Safar>>>>>> Jab TV naya-naya aya tha tab Tv Chal Raha Tha, Azaan Ki Awaaz Aai, Tv Fouran Band Kar diya Waqt Guzarta Gaya Tv Chal Raha Tha, Azaan Ki Awaaz Aai, Tv Ki Aawaaz Fouran Bad Kardi Aur Waqt Guzrta Gaya Tv Chal Raha Tha, Azaan Ki Awaaz Aai, Tv Ki Aawaaz Kam Kardi Aaj Afsoos Noubat Yaha Tak Aa Gai He Ke Tv Chal Raha He, Azaan Ki Awaaz Aa Rahi He, Lekin Kisi Ko Koi Parwaah Hi Nahi Aur aage ab kya hoga, Allah bachaye. dheere-dheere hamare dilo par zang chadhta ja raha hai, hamare andar imaan kamzor hota ja raha hai, lekin humko ahsas nahi hai, isliye iske baare mein fikar kare. Roti-Rozi, education ki fikar to din raat karte hain lekin kabhi iske baare mein bhi soche. Allah humko siraate mustakim par chalaye Aameen Azaan Ke Daoraan Sirf TV Ki Awaz Band Karne Se Hamara Farz Ada Nahi Ho JataKiyun Ke Awaz Par ToHum Ne Control Kar Liya Magar Hamara Dhiyaan Aur Hamari NAZAR To 100% TVPar Hi Hoti Hai. Is Ka Matlab Hum Allah Ke Kalaam Azaan Ko Kam Tarjeeh Dete Hain Aur TV Ke Program Ko Ziyada. Astagfirullah Jab ke Azaan k dauraan QURAN-E Pak ki tilawat tak rok kar azaan ke alfaaz dohraane ka hukum hain nabi e muhammad sallallahu alaihi wasallam ke farmaan ke muatabiq ...... ab aap khud sonch sakte hain azaan ki fazeelat ... Allah ham sab ko hamare Nafs par khaabu karne wala banade;;;; silent killer
Posted on: Tue, 16 Jul 2013 04:15:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015