Taajdar E Do Jahan Solallahu Alaihi Wasallam KUCH YAAD RAKHNE - TopicsExpress



          

Taajdar E Do Jahan Solallahu Alaihi Wasallam KUCH YAAD RAKHNE LAYAK BAATEIN Jaror padhey- JIKR-E-ILAHI [1] Sab se achi Zindagi woh Basar karta hai, Jo Apni zarurat Poori karne ke liye “Allah” ke siwa kisi aur pe Bharosa nahi karta. [2] Nek Aadmi Ki Maut Us Ke Liye Rahat Hai Aur Bure Aadmi Ki Maut Logon Ke Liye Rahat Hai. Hazrat Ali (RadiyAllahu Anhu) [3] Jab apne maa-baap ko koi chez do to is tarah do____jaise koi gulam apne Aaka ke samane pesh karta hai [4] Farz ki sunnat padh lene ke baad jama’at mai chahe jitni der ho, koi nafil namaz nahi padh shakte. [5] Lakho Dost Banana Koi Bari Bat Nahi, Mager Ek Dost Aisa Banao Jo Ap Ka Sath Us Waqt De Jab Lakho Ap Ke Mukhalif Ho. [6] Zindagi mein do Logo’n ka bohot khayal rakhna…1. wo, jis ne tumhari jeet ke liye apna sab kuch haar diya (matlab tumhara baap) 2. wo jis ki Duao’n se tum sab kuch jeet gaye (matlab tumhari maa’n). [7] Ye mat socho ke tumhari DUA foran qubool nahi hoti…balke ye socho ke tumhare gunahon ki sazaa “ALLAH” tumhe foran nahi deta. [8] Koi Tumharay Dill Ko Dukhaye To Naraz Na Hona,,kyon Ke Yeh Qudrat Ka Kanoon Hai Ke Jis Darakht Ke Sath Ziyada Meetha Phal Hota Hai Use Log Zyada Pathar Marte Hain. Hazrat Ali (RadiyAllahu Anhu) [9] Agar kisi adimi ne apne kisi gunah se tawba kar li fir bhi kisi ne (kisi bhi wazah se) us tawba karne wale ko uske gunah yaad dila kar sharminda kiya to aisa adimi marne se pahele kabhi na kabhi us gunah mai jaror mubtila ho jayega. (TIRMIZI SHARIF) [10] Azan ka 1 jumla sun ke use dohrane se 2 lakh nekiyan milti hai or ye baat dusro ko batane wale ko 30 nekiyan milti hai. aur qayamat me inshan 1-1 nekiyon ki liye tarsega.
Posted on: Fri, 04 Oct 2013 16:44:19 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015