Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki WafaaDekhta Raha Umer Bhar Apna Ghar - TopicsExpress



          

Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki WafaaDekhta Raha Umer Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay Magar Mein Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha Paani Maangtay Maangtay Mere Hont Pathar Ho Gaye Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha Umer Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha Mein Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha Kahuunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko “Mohsin” Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha
Posted on: Mon, 24 Jun 2013 01:24:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015