Thora Lamba hai lekin zarur Pura Pareh keyunki ye Insaniyat ka - TopicsExpress



          

Thora Lamba hai lekin zarur Pura Pareh keyunki ye Insaniyat ka Masla hai BABRI MASJID KA SACH 1 BAR ZARROR PADHEY 1. 1528 me Meer Baque ne Babri Masjid Banwayi aur Namaz ka silsila shuru kiya, Babri aurBabarnama men mandir ko todne ka zikr nahi hai. 2. 1575 me TULSI DAS ne RAMCHARIT MANAS likhi magar kisi bhi mandir ke todne kazikr nahi kiya. 3. Babar ke Mukhalifeen aur uske daur ke Gurunanak ne bhi mandir todne ka zikr nahikiya jabki Nanak ne Ayodhya (jahan Babri Masjid thi) me kuch samay (waqt) bitaya tha. 4. 1857 men masjid ke bagal men deewar utha kar khali Plot me se 1 hissa Hinduo ko de diya gaya. 5. 1883 ki May Month men Hinduo ne us hisse me Mandir banana chaha magar Goverment ne Permission nahi di. 6. 1885 24 Dec. ko Court ne Hinduo ki Mandir banane ki Arzi radd kar di, Hinduo ne khud us par Babri Masjid likha us waqt tak Hinduo ka Babri Masjid par koi dawa nahi tha. 7. 1886 26 March. ko Court ne Hinduo ki Apeel bhi kharij kar di 8. 1877 pahli bar Faizabad Goverment (H.R.NAVAIL) ne bina kisi Gawah ke ye Note chadhaya 1528 me Babar ne 1 Hafta (Week) Ayodhya men bitaya aur Mandir dhaya aur Masjid ka Nirman (Taameer) karaya. jabki Itihasik (Tareekhi) sabooto ke anusar(mutabiq)Babar kabhi Ayodhya gaya hi nahi uska Ayodhya se nikattam prawas (nazdeeki makan) 110k.m. Door tha jaha se wo guzra tha. 9. 1934 Hindu-Muslim Dango(Rite)ke Dauran Babri Masjid ko nuksan pahuncha. 10. 1949-22 dec.ki Raat me Masjid ke Andar Murtiya Rakh di gai 23 Dec.ko Court ne Tala(Lock) dalwa diya Musalmano k Ander jane par Rok aur Hinduo ko Pooja ki Anumati(ijazat)dekar pahli bar Masjid Vivadi bana di gai 11. 1950 16 Jan.ko Musalmano ne Masjid Bahali k liye Court me Sampark (Rabta) kiya, magar Court ne Murti na hata kar Hinduo k Puja-Pathko barkar rakha. 12. 1951 1 July ko Court me Dipty Comissioner S.P. Kabayan ka yeh Bayan Babri Masjid hai aur Musalman 1925 se 1949 tak yahan Namaz ada karte rahe hai. 13. 1986 27 Jan ko Faizabad Court me Hinduo ne Babri Masjid par kabze ke liye Arzi di. 28 Jan ke Court se Adesh (Hukm) hua ki tamam cases (Allahabad High Court Luckhnow Banch) Transfer ho gaye hai isliye Arzi Radd ki gai. 14. 1986 30-31 Jan ko Order ki khilaf Distric Judge k yahan Apil ki gai Musalmano ne bhi Arziya di Sahab Radd kar di jae. 15. 1Feb ko High Court ki Parwah na karte hue District Judge ne 4.45 am par tala kholneka hukm de diya. 5.12 am par tala khola gaya aur Puja-Path shuru kar diya gaya 2 pm se hi Faizabad me P.A.C. ki 7 Company tainat kar digai thi, Muslim ilaako ko gher liya gaya aur raatme t.v. par Puja aur Darshan Telecast kiya gaya, nateeje me India me Dange bhadak uthe. 16. 1989 Nov. me High Court ne Babri Masjid se mili hui Jagah ko jeyo ka tyo rakhne ka hukm diya magar usi Jagah par Shilanyas (Bunyad) ki Rasam ki gai. 17. 1990 Sep. me Advani k Zariye Hinduo ko bhad-kane par Somnath se Aayodhya tak Rath-Yatra ka Program kiya.lekin 23 Oct. ko Bihar ki Lalu Parsad Goverment ne Advani ko Arrest kar liya. 18. 1991 Oct. me Goverment ne Masjid ki 7.22 Ekad Zameen Aquire kar li. 19. 1991 Nov. me Supreme Court ka U.P. Goverment ko Order diya ki Masjid ko jeyo ka tyo rahne diya jaye. 20. 1992 May se July tak Kalyan singh k aguwayi wali B.J.Phukoomat U.P Goverment Mandir Banane k liye Vivadit Jagah (jhagde wali jagah) par tamiri kam jari rakhti hai. 22 July ko Supreme Court k sakht hukm ke jawab me Goverment apni vivashta (lachari)prakat(zahir)karti hai parantu(magar)tameeri kam jari rahta hai. Nov me U.P. Goverment aur sampradayik sangathan Supreme Court ko Yaqeen dilate hain ki Nirman nahi hoga, Babri Masjid Mahfooz(safe)rahegi aur uski Hifazat ki jayegi. 6 Dec ko U.P. Goverment ki sarparasti me Central Goverment ki maun sweekriti (khamosh rezamandi) aur Sampradayik Partiyo ki sharh par pahle se tai plan ketahat Sampradayik aur Ugr-wadi kary sewak 5 Gahnte me Babri Masjid ko Shaheed kar dete hai. 21. 1 Report k Mtabik Ayodhya City k 23 Mandiron k Pujari ka Dava hai ki Bhagwan Ram ka Janm(Birth) yaha par hua hai(Matlab ki Ram Mandir k Pujari yahi bolte hai ki Bhagwan Ram ka Janm unke Kahe hua Mndir me hua hai)jo ye kaihta hai ki Babri Masjid ko Mandir Tod kar Banai Gai Hai Unse Bada Jhoonta Koi Nahi Hai. Haqiqat ko koi Jhutla Nahi sakta.........­!!! ya hai Babri Masjid ka Haqiqat jo Ro-Ro kar har Hindustani se Kaihti Mujhe Barbad na karo Magar 2 Bare Samudae k Jhagre ne ise Jhinjhor kar rakh diya hai kuchh Hindu ye Samajhne k liye Teyyar hi nahi hai ki Akhir Musalmaan wahi Jageh kaise Jaan gaya jaha Ram ne Janm liya ? us Jagah par Mandir hata kar Masjid kaon Banaega ? Tulsi Daas ya aur bhi jitne abre Rachaita hai unhone apni kisi bhi Kitab me is Baat ka Zikr keyun nahi kiya ? Tarikh Gawah hai ki Mugal Saltanat ya aur koi Muslim Hukumat ne kabhi ye nahi kiya ab ye Masla India k Politicion ka sabse Bada Hathyar hai,jab kabhi unhe Zarurat hoti hai tab wo ise Mazhab k Naam par Tapa dete hai aur India ki Abadi chahe wo Hindu ho ya Muslim unka Sath dene k liye Khara ho jata hai agar Likhne (Spelling) me koi Galti hui hoto Bara-e-Meharbani Maaf kare Jazak-Allah Khair Dear Muslim Brothers & Sisters Please Like this Page https://facebook/.../Tum.../450185081765450... محفوظ صديقيs photo.
Posted on: Tue, 03 Dec 2013 17:10:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015