Tum ne hi majboor kiya hai, Mujh ko raah badalny per Jeewan k - TopicsExpress



          

Tum ne hi majboor kiya hai, Mujh ko raah badalny per Jeewan k be-ant safar mein, Ghair ka ho kar chalny per Meine tumhari aasha’on ka, Her her roop saraha tha Meine apna aap bhula kar, Tum ko toot k chaha tha Umer ki ujli deewaro’n per, Qismat ka andheyaara tha Aur boht they suraj lekin, Tum sa charaagh hi piyara tha Lekin tum hi mery maseeha, Nafrat k saanchay mein dhal kar Ik Din mery saamney aa gaye, Qaatil ka behroop badal kar Ab kia shikwa, Kesi Shikayat, Chahat k sab rishtay kachay Mein bhi aur tum bhi har-jaai, Mein bhi theek aur tum bhi sachay. . !
Posted on: Sat, 24 Aug 2013 05:00:03 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015