Ummat-e-Nabi.co m » Hiqayat Nabi Hazrat Aadam (Alaihay - TopicsExpress



          

Ummat-e-Nabi.co m » Hiqayat Nabi Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Hiqayat-(Part 1) : Roo-e-Zameen Ki Ibteda » Bismillah Hir Raheman Nir Rahim « Sabse Pahle Roo-e-Zameen Ki Ibteda Allah Ke Noor Se Saari Tareef Aur Ibaadate Allah Subhan Ta’ala Ke Liye Hai. Jo Saare Aalam Ka Malik Aur Khaliq Hai, Hamara Rab Hai. Aur Daroodo Salaam Hamare Pyaare Aaqa Mohammed Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Par Unki Aal Par Aur Aulaad Par. Aur Salaam Ho Unke Sahaba (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Par . Aziz Dosto Jab Kuch Nahi Tha, Tab Allah Ki Jaat Azim Thi. Na Zameen Thi Na Aasmaan Tha Na Chaand Na Suraj Na Sitaare, Na Farishte Na Jinnat Na Insaan. Kuch Bhi Nahi Tha. Sab Se Pahele Allah Ta’ala Ne Apne Noor Se Noor-e-Mohammad i Ko Paida Kiya, Aur Usi Waqt Noor-e- Mohammedi Ne Allah Ko Sajda Kiya. Allah Ne Noor-e-Mohammed i Se Sari Qaayenaat Ki Takhliq Ki. Hamaare Pyaare Aaqa Mohammed (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Noori Bashar Hone Ki Dalil Me Kuch Hadeese Aur Qur’an Majeed Me Allah Ta’ala Ka Irshaad Is Tarhaa Hai. » 1). Hazrat Jabir (Razi Ta’ala Anhu) Ne Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Arz Kiya, “Ya Rasool Allah ! Allah Ta’ala Ne Sab Se Pahele Kis Cheez Ko Paida Farmaaya ? Iss Par Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaaya, Aye Jabir ! Beshaq Allah Ta’ala Ne Sab Se Pahele Apne Noor Se Tere Nabi Ke Noor Ko Paida Farmaaya”. -: (Mawahibul Laduniyah Shareef Pg.9 Vol.1 – Zurqaani Shareef Pg.46 Vol.1 – Seerat-E-Halbia Pg.37 Vol.1 – Sharah Dalailul Kheyraat Pg.210 – Hujatul’laahi Alal Alameen Pg.28 – Anwaarul Muhammadiya Pg.9 – Fatawa Hadeethia Pg.51) » 2). Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hazrat Jibrayeel (Alaihay Salam) Se Farmaaya, “Aye Jibrayeel ! Tumhaari Umar (Age) Kya Hai ? Jibrayeel (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya “Huzur ! Mujhe Kuch Khabar Nahi ? Lekin Mai Itna Jaanta Hoon Ki Chouthe (4th) Hijaab Me Ek Noorani Taraa 70,000 Hazaar Baras (Saal) Ke Baad Chamakta Tha, Aur Uss Noorani Taare Ko Maine 72,000 Hazaar Martaba Chamakte Dekha Hai”. Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ye Sunkar Farmaaya, “Mere Rab Ki Izzat Ki Kasam ! Mai Hi Woh Noorani Taara Hoon”. » 3). Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya, “Mai Allah Ta’ala Ke Noor Se Hoon, Aur Tamaam Makhlooq Mere Noor Se Hai. Aur Sab Se Pahele Allah Ta’ala Ne Mere Noor Ko Paida Kiya. -: (Tirmiji Shareef, Page No 201) » 4). Ek Sahaabi Ne Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Arz Kiya, “Ya Rasool’Allah ! Aap Ko Naboowat Kab Mili ? Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya, “Mai Uss Waqt Bhi Nabi Tha, Jab Aadam (Alahay Salam) Mitti Aur Rooh Ke Darmiyaan The”. » 5). Qur’an Shareef Me Allah Ta’ala Irshaad Farmaata Hai, “Beshaq, Tumhari Taraf Allah Ki Taraf Se Noor (Mohammed Sallallahu Alaihay Wasallam) Aaya Hai Aur Ek Roshan Kitaab (Quraan Majeed). -: (Surah Maida, Aayat 15) » 6). Quran Majeed Me Allah Ta’ala Irshaad Farmaate Hai, “Aur Woh Chaahate Hai Ki Allah Ke Noor Ko Apni Muhh (Mouth) Ki Foonk Se Bujha De, Lekin Allah Apne Noor Ko Pura Kar Ke Rahega, Chaahe Ye Kaafir Ko Bura Lage”. » 7). Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya, “Mai Aadam (Alahay Salam) Ke Paida Hone Se Pahele Apne Rab Ke Huzur Me Noor Tha”. » . Ibn Sabaah Farmaate Hai, “Aap Huzur Pur Noor Ke Noor Hone Ki Khaasiyat Ye Thi Ke Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Sayaa Zameen Par Nahi Padtaa Tha”. » 9). Hazrat Ali (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Farmaate Hai Ki, “Jab Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kuch Irshaad Farmaate Toh, Unn Ke Mubaarak Daanto Ke Beech Me Se Noor Ki Kirne Footati Dikhayee Deti Thi”. – (Mawahibul Laduniyah Pg. 270 Vol.1 – Anwaarul Muhammadiya Pg.132 – Zurqaani Shareef) » 10). Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaaya, “Mai Aulaad-e-Aadam Me Sab Se Jiyaada Muqarram Aur Sab Se Jiyaada Mu’az- Zam Hoon”. » 11). Hazrat Umar (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Farmaate Hai, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya, “Mai Tum Me Se Kisi Ki Bhi Tarhaa Nahi Hoon”. -: (Sahih Bukhaari Vol.1 Page No. 246) » 12). Hazrat Ali (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Farmaate Hai, “Maine Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jaisa Kisi Ko Na Payaa, Na Unn Ke Pahele Aur Na Unn Ke Baad”. » 13). Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Sahaabiyo Ko Raat-Din Ke Roze Rakhne Se Manaa Farmaaya. Sahaabiyo Ne Arz Kiya, “Ya Rasool’Allah ! Aap Toh Wisaal (Raat-Din) Ke Roze Rakhte Hai”, Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Mai Tumhaari Tarhaa (Aam Insaan) Nahi Hoon, Mujhe Rizq Diya Jaata Hai”. -: (Muslim 774, Bukhaari 693, Nisaayee 241) Aap Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Noor Se Allah Ta’ala Ne Saari Qaayenaat Banaayee. Fir Sab Se Pahele Qalam (Pen) Ko Paida Kiya, Riwaayato Me Hai Ki Zameen Ki Takhkeek (Banaane) Ke 50,000 Hazaar Saal Pahele Allah Ta’ala Ne Qalam (Pen) Ko Paida Kiya. Allah Ta’ala Ne Qalam (Pen) Ko Huqm Diya, “Likh (Write) Toh Sab Se Pahele Qalam (Pen) Ne Bismillah Hir Rahemanir Rahim Likha, Yaani Ki Allah Ke Naam Se Shuru, Jo Ki Bahut Rahem Karne Wala Aur Bahut Meharbaan Hai. Allah Ta’ala Ne Fir Huqm Diya, “Likh (Write)! Iss Par Qalam Ne Arz Kiya, “Aye Mere Rab ! Kya Likhoo? Allah Ta’ala Ne Huqm Diya, “Ab Se Qayaamat Tak Jo Bhi Hone Wala Hai, Woh Sab Likh De”. Aur Qalam Ne Tab Se Lekar Qayaamat Tak Jo Bhi Hona Hai Woh Sab Likh Diya Jo Ki Lohe Mahefooz Me Darz Hai. Fir Allah Ta’ala Ne Farishto Ko Noor Se Paida Kiya, Jinnato Ko Aag Se. Aur Insaan Ko Mitti Se Paida Kiya. Farishte Din-Raat Allah Ki Ibaadat Aur Hamd-O-Sana Karte Hai. Aur Allah Ne Unhe Jis Kaam Par Ma’amoor Kiya Hai Farishte Uspe Amal Karte Hai. Aur Thakte Bhi Nahi. Allah Ne Ham Insaano Se Pahele Jinnato Ko Aag Se Banaaya Aur Unhe Zameen Ka Khalifa (Waris) Banaya. Iblees Jo Ki Jinnato Me Se Tha Uska Naam Azazil Tha, Aur Woh Bahut Ibaadat Guzar Tha. Duniya Ka Koi Bhi Kona Nahi Bacha Jahaa Usne Sajda Na Kiya Ho. Isi Wajah Se Woh Allah Ke Muqarab Bando Me Se Tha. Yahaa Tak Ki Woh Jannat Me Bhi Be Rok-Tok Aaya Jayaa Karta Tha. Allah Ta’ala Ne Jinnato Ko Apni Ibaadat Ke Liye Banaaya Tha, Lekin Jinnat Sirkash Ho Gaye Aur Zameen Par Fasaad Karne Lage. Qatal-O-Gairat Karne Lage. Allah Ta’ala Ne Azazil Ko Farishto Ka Sardaar Banaa Kar Zameem Par Bheja. Azazil Farishto Ka Lashkar Le Kar Zameen Par Aaya Aur Jinnato Se Jung Ki Aur Unhe Maidaani Ilaake Chhodkar Pahaado, Ghatiyo Aur Waadiyo Me Bhaagne Par Majboor Kar Diya. Allah Ne Farishto Se Kahaa, “Mai Insaan Ko Zameen Ka Khalifa (Waris) Banaane Wala Hoon. “Iss Par Farishto Ne Khadsaa Zaahir Kiya Ki Insaan Bhi Zameen Par Fasaad Karega Aur Qatal-O-Gairat Karega. Teri Ibaadat Ke Liye Ham Hi Kaafi Hai. Allah Ta’ala Ne Kahaa, “Main Jo Jaanta Hoon Wo Tum Nahi Jaante”. Allah Ta’ala Ne Mitti Ke Khameer Se Aadam Ka Putlaa Tayyar Kiya. Ek Riwaayat Me Hai Ki Aaj Jahaa Khana-e-Kaaba Hai, Uss Jagah Se Mitti Li Gayee. Aur Ek Riwaayat Me Hai Ki Saat (7) Alag-Alag Jagaho Se Mitti Le Kar Khamira Tayyar Kiya Gayaa. Aur Uss Se Aadam Ka Putlaa Banaaya Gayaa. Allah Ta’ala Ne Farishto Se Kahaa, “Jab Main Iss Putle Me Apni Rooh Fookoo (Daaloo) To Tum Sab Sajde Me Gir Jaana”. Jab Allah Ta’ala Ne Aadam Ke Putle Me Rooh Daali Toh Sab Ne Sajdaa Kiya Siwaaye Iblees Ke. Allah Ta’ala Ne Iblees Se Poocha, “Jab Sab Ne Sajdaa Kiya Toh Tune Kyon Nahi Kiya? , Tujhe Kis Cheez Ne Roka ?. “Iblees Ne Apni Galti Nahi Maani Aur Takabbur (Ghamand) Se Kahaa. “Mai Iss Se Afzal (Behtar) Hoon, Tune Mujhe Aag Se Paida Kiya Aur Ise Sadi Huyee Mitti (Khanakti Huyee Mitti) Se Paida Kiya”. Allah Ta’ala Ne Kahaa, “Nikal Ja Yahaa Se, Aaj Se Tu Razim (Dhutkaara) Huwaa Hai, Aur Tujhpe Laanat Hai”. Iblees Ne Kahaa, “Aye Mere Rab, Jis Ki Wazah Se Tune Mujhe Dhutkaara Aur Laanat Ki, Mujhe Qayaamat Tak Mohlat De Ke Mai Ise Aur Iss Ki Aulaado Ko Gumraah Karoo Aur Inhe Teri Raah Se Rokoo, Aur Mai Chahe Aage Se Piche Se Upar Se Niche Se Jahaa Se Bhi Aawoo Koi Mujhe Dekh Na Sake”. Allah Ta’ala Ne Kahaa. “Mujhe Apne Jalal Ki Kasam, Ja Tujhe Mohlat Di, Lekin Mai Tujhe Aur Jo Teri Pairvi Karega Unn Sab Ko Jehannum Me Bhar Dooga. Aur Insaano Ki Rahenumaayee Ke Liye Mai Apne Nabiyo Aur Rasoolo Ko Bhejooga. Jo Bhi Muttaqi Aur Parhezgaar Hoga Aur Nek Amal Karega Mai Use Jannat Me Jagah Dooga”. Reference : (Virtual study of Mohammed Rafique, Hiqayat-Part#1
Posted on: Fri, 27 Sep 2013 07:43:08 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015