*YAJÜJ O MAJÜJ* . Yajüj o Majüj Yaafis Bin Hazrat NOOH - TopicsExpress



          

*YAJÜJ O MAJÜJ* . Yajüj o Majüj Yaafis Bin Hazrat NOOH Alaihis Salam ki aulaad mein se fasaadi gìroh hain. Unki tadad bahoot zyada hai. Zameen mein fasaad karte the. Rabi ( Rabi season) ke zamane mein nikalte thè to khetiyaan aur sabze sab kha jate the, kuch bhì na chhodte the aur khusk chizein laad kar le jate the. . Aadmiyon ko kha jate the. Darindon,wahshi janwaron,saanpo n aur bichhuon tak ko kha jate the. Yani un mein RAB TAALA ne darindagî ke asraat gaalib kar diye the. . Logo ne Hazrat e Sikandar Zulqarnain Radi Allahu Anhu se arz kiya: Yajüj o Majüj zameen mein fasaad machaate hain, to kya hum aapko kuch maal jama kar dein ki aap unke aur hamare darmiyaan koi deewar bana dein. . Hazrat e Zulqarnain ne kaha: Maal to ALLAH TAALA ke FAZL se mere paas bahoot hai, Tum sirf taaqat se meri imdaad karo to ek mazboot aad bana deta hoon. . Is tarah unhone buniyad khudwaai jo pani ki satah tak pahunchi aur us mein pighlaye huè tambè se patharon ki chunaai ki. Phir lohè ke takhte upar-niche chun kar unke darmiyan lakdi aur koyla bharwa diya aur aag de di. . Is tarah ye deewar pahaad ki balandi tak unchi kar di gayi aur dono pahaadon ke darmiyan koi jagah na chhodi gayi, upar se pighlaya hua tamba(copper) deewar mein pila diya gaya. Ye sab milkar ek sakht jism ban gaya. . Hazrat è Zulqarnain ne kaha: Deewar jab mukammal ho jayegi to Yajüj o Majüj us par nahin chad sakenge aur na hî us mein suraakh kar sakenge. Ye sab mere RAB ki REHMAT hai. Haan,jab ALLAH TAALA ka wada (Qiyamat ka waqt) aa jayega to use paash-paash kar dega aur mere RAB ka wada SACCHA hai. . Hadees Sharif mein hai ki Yajûj o Majûj rozana deewar ko todte hain aur din-bhar mehnat karte-karte jab uske todne ke qareeb hote hain to un mein koi kehta hai: Ab chalo! Baaqi kal tod lenge. Dusre roz jab aate hain to Ba-Hukm è Ilahi, pehle se zyada mazboot ho jati hai. . Jab unke nikalne ka waqt ayega to un mein se koi kehne wala kahega: Ab chalo! INSHA ALLAH baaqi deewar kal tod lenge. INSHA ALLAH kehne ka unhein ye faaida hasil hoga ki us din ki unki mehnat raaegãan nahin jayegi. Agle din jab aayenge to utni tutï huì deewar hi unko milegi jo kal tod gaye the. Ab kuch aur todkar bãhar nikal ayenge aur zameen meìn fasaad uthayenge. Qatl o gaarat-giri karenge aur chashmon ka pani pi jayenge, janwaron,darakh ton,aur jo admi hath aayenge unko kha jayenge. . Makkah Mukarrama , Madina Tayyaba aur Baitul Muqaddas mein daakhìl nahin ho sakenge . . Khayaal rahe ki Makkah Mukarrama aur Madina Tayyaba mein Dajjãl bhi daakhil nahìn ho sakenge. . ALLAH TAALA Hazrat e Isa Alaìhis Salam ki Dua se Yajuj o Majüj ko halaak farmayega. . Is tarah ki unki gardanon mein kidey paida honge jo unki halaakat ka sabab honge. . ALLAH TAALA ka irshad hai: Aur us din Hum unhein chhodenge ki unka ek giroh dusre raela aayega (yani mauj dar mauj bãhar nikalte hue yalgaar karenge) aur Soor phunka jayega to Hum sabko ikattha karke layenge. (para:16,surah: kahaf,ruku:11,a yat:99) . < Tafseer Khazaainul Irfan:aj: Allama Maulana Sayyed Muhammad Naeemuddin Moradabadì Alaìhir Rahma) .
Posted on: Wed, 04 Dec 2013 07:01:14 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015