Ye ek sachi kahani hai - read must ek chhota bachha jo ki umar me - TopicsExpress



          

Ye ek sachi kahani hai - read must ek chhota bachha jo ki umar me 6 ya 7 saal ka hoga, ek dukan ke samne khada tha. Usne dukandar se kuch kaha our dukan dar ne use mana kar diya. Fir wo ladka dukan se thodi dur khada hoke kabhi apni pocket me hath marta our kabhi dukan me rakhi ek gudiya ( doll ) ko dekhta. Ye silsila karib 15 minute chala . Dur khade ek admi bahut der se us bache ko dekh raha tha. Usne socha kya manjra hai jara pata lagaun jaise hi admi age badha , ladka dukandar ke paas ja ke bola mere paas itne hi paise hai. In paiso se ye gudiya kharidi nahi jaa sakti kya ? Dukhandar bola nahi. Fir wo ladka dukhi hoke piche muda our us admi se pucha uncle sach me ye paiso se gudiya nahi milegi ? vastav me paise bahut kam the. So us admine kaha nahi beta tumahre paas paryapt paise nahi hai. Ladka dukhi hoke age badhne laga. Fir us admine pucha tumhe wohi gudiya kyun chahiye beta ? Ladka bola : meri bahen ko gudiyabahut pasand hai. Ye gudiya mai meri bahen ko janamdin par gift dena chahta hu. Me ye gudiya meri maa ko dunga taki wo jab meri behen ke pas jaye to wo use de degi. Admi ne pucha : tumhari behen kaha rahti hai ? Ladka : meri behen Bhagwan ke paas rehti hai. Or papa kehete hai bahut jald meri maa bhi bhagwan ke paas chali jaye gi. Us admi ke ankhome ansu aagaye lekin bacha bolte hi jaa rahatha. Me papa se kahunga maa or kuch din late kar ke jaye taki mai or paise jama kar saku. Or gudiya kharid saku. Us admi ka dil bhar gaya our usne apni pocket se 100 rs ka ek note nikal ke us bache ko kaha dikhao beta zara fir s tumhare paise ginenge sayad in pasiso se wo gudiay aajaye. Admi paise ginne ka bahana kiya our kaha are tumhare paas to bahu paise hai. Gudiya aajayega. Fir usne dukan dar ko 100 rs dekeus bache ke liye wo gudiya khareed diya. Bachha thanx bola our kaha meri maa ko safed gulab bhi bahut pasand hai . Our wo apni pocket se ek photo nikala our kaha ye mera photo hai. Sachmuch bacha photo me bahut sundar lag rahatha. Bachha bola mai ye photo apni maa ko dunga taki wo meri behen ko de degi our meri behen ye photo dekh ke mujhe humesha yaad karegi. Admi ke ankho se ansu aagaye bt wo apne apko sambhalte huye us bache ko vidai diya our kaha beta apna khyal rakhna. Fir admi apne ghar chala gaya. Lekin us admiko raat bhar neend nahi huyi. Fir achhanak use yaad aya 5 din pahle news paper me chhapi thi ek daaru ke nashe me dhut ladke ne car chalate huye ek scooter wale ko udadiya. Jaha mouke par hi scooter wale ki chhoti ladki ka death ho gaya our wife ko gahri chot aayi hai. Usne socha kahi ye us bache ki maa bahen to nahi ? Ye sochte huye subah ho gayi our usne news papre me padha ki accedent me us aurat ka bhi death ho gaya hai. Admi sach janane keliye wo adress pe gaya to dekha sachmuch us bache ki maa mar gayi thi . Our uski lash ghar ke bahar rakha huatha. Lash ke sine me wohi gudiya thi. Ek hath me Gulab ka phul our dusre hath me bache ka photo tha. Our dur kone me ladka apni ek rishte daar ke bahon me tha. Ye manjar dekh ke admi ke ankhose ansuon ka sailan toot pada. Wo apne apko rok nahi paya our khade khade rone laga Ye kahani likhte wakht mere ankho me bhi aansu hai.
Posted on: Wed, 26 Jun 2013 03:23:08 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015