Ye shab e firaq ye bebasi, hain kadam kadam pa udasian Mera sath koi na da saka, meri hasratein hain dhuwan dhuwan Ma trap trap k jia to kya, maray khwab mujh sa bichar gae Ma udas ghar ki sada sahi mujhy da na koi tasalian Ye fiza jo gard o ghubar ha meri bekasi ka mazar ha Ma phool hon jo na khil saka, meri zindgi ma wafa kahan Chali aisi dard ki andhian maray dil ki basti ujar gai Ye jo raakh si hay bhuji bhuji, hain isi me meri nishanian.
Posted on: Thu, 25 Jul 2013 23:17:09 +0000
Trending Topics
Recently Viewed Topics
© 2015