Yeh Kavita Main Apni Maa ko Dedicate Karta Hoon Iss Kavita Mein - TopicsExpress



          

Yeh Kavita Main Apni Maa ko Dedicate Karta Hoon Iss Kavita Mein Meri Zindagi Ki Kuch Sachaiyan Shaamil Hai,Main Dua Karta Hoon Ke Duniya Ke Har Maa Ka Aanchal Khuda Khushiyon Se Bhar de Mere Paas Kuch Bhi Nahi, Par Agar Aap Ho Mere Saath To,Mere Paas Sab Kuch Hai Khuda Sunta Hai Har Fariyaad Aapki,Aapke Duawon Ke Sadke Mere Paas Bahut Kuch Hai Aapke Haathon Mein Khela Hoon Aapke Haathon Ko Thaam Kar Chalna Seekha Aap Ka Haath Mere Sar Par Ho to Har Mushkil Raah Se Guzarta Hoon Har Insaan Ki Sabse Pehli Zaroorat Maa Hoti Hai,Mere Liye Bhi Sabse Badi Zaroorat Aap ho,Aapke Baad Hi Baaki Ki Zaroorate Kuch hai Maa Ka Pyaar Duniya Mein Sabse Nek Aur Sacha Hota Hai Varna Iss Duniya Mein Har Ek Ko,Ek Duje Se Adawat Kuch hai Maa Aapne Zindagi Mein Kai Gham sahe,Par Apne Bacho Ko Kabhi Kuch Naa Kaha,Eh Maa, Suun Aapke Bacho Ko Aapse Shikayat Kuch Hai Toote Hue Khilone Se Lekar Toote Hue Dil Tak,Aapse Har Baat Kahin Hai,Aaj Ki Duniya Mein kaun Kis Ki Suunta Hai,Kya Apne Kaamo Se Aaj Kisi Ko Fursat Kuch Hai Main Ek Baat Kehta Hoon Aaj Unn Sab se Jinhe Apne Maa-Baap Ki Izzat Karne Naa Aayi Maa-Baap Ki Izzat Sabse Pehle Hai Aur Ussi Mein Khuda Ki Bhi Khushi Hai "Khwaish" Maa-Baap Ke Sajde Ke Baad Hi,Khuda Ka Sajda Kuch hai
Posted on: Mon, 30 Sep 2013 14:59:22 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015