Yeh kahani laghbhag do saal pehle tab shuru huyi jab main apni - TopicsExpress



          

Yeh kahani laghbhag do saal pehle tab shuru huyi jab main apni naukri se resign kerke kuch din ke liye ghar gaya tha. Abhi doosri jagah join kerne mein kuch samay tha socha kuch din Maa Baap ke saath reh loon. Papa tab Bhagalpur shift ker chukey they aur Kahalgaon mein thermal power house ke karta dharta they. Yahan humey kaafi bada ghar mila huya tha. Faisal abhi Pune se MBA ker raha tha so ghar pe ek gadraya huya sa ladka nauker rakh liya gaya tha. Waise to who wahin kaam ker rahe chaprasi ka bhatija tha magar uska sarkari naukri se koi lena dena nahin tha. Ghar hi pe rehta tha naam Shomu tha, saanvla rang magar chehrey pe bahut kashish, naak naksh se namkeen jawani thi to shayad kuch saal pehle hi phooti thi. Is kahani ke doosri taraf tha Mudit, jisko maine subah subah apni balcony se dekha tha, haath mein doodh ka bartan latkaye apne ghar ghar ka gate band ker raha tha. Pehle maine usko sirf peechey se hi dekha aur ussi pe lattu ho gaya. Track suit ka safed lower aur navy blue Tshirt pehne tha, jab who muda aur chalne laga to mere dil ki dhadkane mano uske kadam ke neechey bich bich gayin. Doodh mein dhula huya swaroop tha, mano sawan ne apne daaman ke sarey rang uski jawani pe nauchawar ker diye hon. Kale reshmi baal, bhuri bhuri aankhein, gulabi honth, safed rang thoda lali liye huye, patli si kamar jisme lachak thi, jawani aur madak ladakpan ka sangam tha. Main turant gate pe aa gaya aur wahin khada raha jab door se who wapas aaya to usko dekh ker muskuraya who bhi halka sa muskurata huya wapas chala gaya apne ghar ko. Mera dil to fauran aa gaya uspe. Main bas usko niharta raha wahin gate pe khada khada. Ander aaker Shomu se poocha ki who samne ghar mein kaun rehta hai to usne bataya who Shukla ji ka ghar hai. Dopahar mein koi kaam nahin tha tahalta huya park chala gaya, wahan ladke cricket khel rahe they. Is baar sawan ne jawani barsaker naye naye ladko ko jawan ker diya tha. Ek se ek maal wahan khel raha tha aur us bheed mein Mudit bhi tha. Main pehle to munder pe baith ker dekhta raha unka khel. Khel kya araam se baith ker eke k ladke ko naap raha tha, jab koi mudhker ball ...
Posted on: Sun, 02 Feb 2014 09:26:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015