ZAROOR PARHE IMAN BACHANE K LIYE..." Aaj Kal Kuch Dino Say Ye - TopicsExpress



          

ZAROOR PARHE IMAN BACHANE K LIYE..." Aaj Kal Kuch Dino Say Ye Fitna Faila Hai Jahan Par Bohat Say Bad Mazhab Log Aam bhole Logo Ko Quran Aur Hadees Kay Hawalay Mang Kar Gumrha Kar Rahay Hai Ye Nichay Kuch Sawalat Aur Unkay Jawabat Hai Jo Ye Log Aksar Puchtay Hai: Sawal 1 : Kis Sahabi Kay Urs Par Sab Say Zyada Log Jama Hotay Hai? Answer : Hazrat Tamim Ansari (Radiallahanhu) Kay Urs Sharif Jinki Mazar Kolam Sharif Samundar Kay Kinaray Madras Chennai Main Hai Aur Usi Tarah Hazrat Bilal Habsi(Radiallahanhu) Jinki Mazar Damascus Mulkay Sham Main Hai, Hazrat Salman Farsi (Radiallahanhu) Iraq, Hazrat Ali (Radiallahanhu) Najaf, In Sahabi Kay Urs Par Sab Say Zyada Log Jama Hotay Hai. Sawal 2 : Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Daur Kay Mashoor Qawaal Ka Naam Batao ? Answer : Qawaal Kay Manay Buzrgo Kay Qaul Gane Wala Haqqani Chezian Ganay Wala...Dekhye Urdu Ki Mashoor Lugat Ki Qitab " Firazul Lugat" Page 949 Writer Molvi Firozudin Deobandi. Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Bargah Kay Mashoor Naat Khwaan Aur Shayar Hazrat Hassan Bin Thabit, Hazrat Abdullah Ibn Rawah, Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanha Ajmain) Hai. Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanhu) Nay Sab Say Pehla Burda Sharif Likha "Banat Suad" Is Ka Naam Hai English Main Isay "The Poem Of The Scarf" Bhi Kehtay Hai Jisay Aap Nay Aqa (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ko Sunaya Is Par Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Bohat Kush Huye Aur Aap (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Inko Apni Kamli (Scarf) Mubarak Tohfay Kay Taur Par Diya, Ye Kamli Mubarak Sahaba E Karam (Radiallahanha Ajmain) Jab Jang May Jatay To Apnay Sath Lejatay Aur ALLAH In Sahabiyo Ko Fatah Dila Deta Aaj Bhi Ye Kamli (Scarf) Turkey Main Topkapi Palace Main Rakhi Hai, Is Tarah Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Shaan Mai Ye Sahaba (Radiallahanha Ajmain) Aksar Kalaam Padtay Aur Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Khud In Kay Liye Ethmam Farmatay Balki Inaam Bhi Ata Farmatay {Ref : Mishkat Sharif Page 410, Bukhari Sharif Volume 1 Page 100, Bukhari Sharif Volume 2 Page 773, Shara Muslim Volume 1 Page 49} Sawal 3 : Sahaba Karam Nay Sab Say Pehlay Jis Mazar Par Chadar Chadaye Wo Kaunsi Rang Ki Thi ? Answer : Sahaba Karam Nay Sab Say Pehlay Jis Mazar Par Chadar Chadaye Wo Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Mazar Pur Anwar Hai Jis Par Surkh(Red) Rang Ki Chadar Chadai Gaye {Muslim Saharf Volume 1, Kitab-Ul- Janaiz Hadees 2136} Sawal 4 : Sab Say Pehlay Jis Sahabi Nay Eid Milad Un Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Manaya Unka Naam Kya Hai? Isi Sawal Ko Kaye Log Is Tarah Bhi Puchtay Hai Ki Kis Sahabi Nay Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Urs Manaya To In Dono Sawal Ka Jawab Ek Hi Hai Kyun Ki Milad 12 Rabi Ul Awwal Ko Manaya Jata Hai Jo Ki Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Paidaish Aur Parday Ki Tariq Hai Is Din Hi Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain Khas Mehfil E Milad Rakhtay Madina Sharif Main. Answer : Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Milad Sab Say Pehlay Khud ALLAH Subhanwatala Nay Manaya Wo Bhi Ambiya Ki Jamat May Alam-E-Arwah Main Jahan ALLAH Nay Tamam Ambiya Alaih Salam Say Gawahi Li Aur Apnay Mehboob Mohammed (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Par Iman Lanay Ki Baat Kahi { Ref : Quran Sharif Para 3, Surah Ale Imran Ayat 81 And 64, Surat Tauba Ayat 128.} Iskay Baad Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Khud Apna Milad Bayan Farmaya { Ref Mishkat Sharif Page 513, Muslim Sharif Volume 1 Page 138 & 282, Tirmadi Volume 2 Page 203} Aur Sahab Karam Main Koi Aisa Sahabi Nahi Hai Jis Nay Milad Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Na Manaya Ho, Sahaba Karam Ka To Khas Kaam Raha Hai Ki Aap Jaha Bhi Jatay Milad Padtay Apnay Nabi Ki Tarif Aur Tausif Bayan Kartay Yahi To Milad Hai Pura Quran Sharif Hai Kya Siwaye Milad E Mustafa(Sal Lal Laho Tala Alaihi Wasalm) Aur Deegar Ambiya Karamy Ki Tarif Hi To Hai Yahi Milad Hai. Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) Main Say Khas Taur Par Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Milad Padhnay Walay Hazrat Amir Ansari (Radiallahanhu) Hai { Ref : Islak Moaazam Page 79} Aur
Posted on: Sun, 11 Aug 2013 12:24:19 +0000

Trending Topics




© 2015