ZYARAT-E-QABAR - kuch log kehte hai ki ahle sunnat wale mazaar - TopicsExpress



          

ZYARAT-E-QABAR - kuch log kehte hai ki ahle sunnat wale mazaar parasti karte hai(grave wroshipper) hai ab yeh log ko kaise samjhaye ke hum mazaar par ibaadat nahi karte hame malum hai ke sirf ibadat allah he ke liye hai or ibadat ke layakh sirf allah hai.... Jaise ki ye Wahaabe log kehte hai ki hum log kabron ki puja karte hai yaani ke hum log Allah ke saath kisi aur ki ibadat karte hai aur ye shirk hai Maz Allah to aap in logon ko ye hadeesein dikha sakte hai: Musnad Ahmed 5/428 23680Nabi Kareem sualalahualaihewasallam ne farmayamain tum pe jis cheez se darta hun woh hai Shirk Al Asghar (Chota Shirk) Sahaba ne pucha ye shirk kya hai, aap ne farmaya Riya yaani dikhawa Nabi kareem sualalahualaihewasallam ne Shirk Al Akbar nahi kaha jo ke Allah ke saath kisi aur ki i badat karne ko kaha jaata hai bulke kaha Shirk al Asgar jo ke riya hai (Dikhwa in ibadat) Ye is baat ki dalil hai ke is ummat mein koi shirk nahi karegaa. Dusri hadees:Sahi Muslim 485 Nabi kareem sualalahualaihewasallam ne farmaya Maine tumhe kabron ki ziyarat karen ko mana farmaya thaa lekin ab tum kabron ki ziyarat kar sakte ho Allah behter jaanata hai ke muslim log aage jaake kya kareinge to agar woh log shirk kareinge kabr pe jaake to kya Allah ke Nabi hume kabhi kabron ke paas jane ka hukm dete? Ye Wahabee/Ahle khabees log fir aise kaise bol sakte hai. Tisri hadees:Sahih Bukhari Book 56 Hadith 803 Nabi kareem sualalahualaihewasallam ne farmaya Kuch log aise aayenge jo dusro ko jahannam ke taraf bulayenge aur jo log unko maneinge woh log jahnnam mein phek diye jaayenge. Sahaba ne arz ki Ya Rasul Allah unke bareim mein batayiye. to aap ne farmaya woh humare honge aur woh humari zubaan bolenge Sahaba ne kaha agar meri zindagi mein aisa ho to kya karun Huzoor ne farmaya Jamaah Musalmanon aur unke Khalifa ke saath raho....... In Wahabeeyon se kaho ke aaj Sabse Badi jamaat woh hai to Dargha pe jaate hai aur jo Muqallid bhi hai. Quran mein Allah farmta hai: Tum sabse behterin ummah ho.[Soorah Aali- Imraan 3:110] Ye kaise ho sakta hai ke sabse behterin ummah mein sabse zadaa Mushrik ho? Aur ek hadees:Nabi kareem sualalahualaihewasallam ne farmayaMain us shaks se darta hun jo Quran ko padhlegaa aur uska chehra munnwara ho jayegaa aur woh aayega Islam ko bachane. Ye jub tak Allah chahta hai tub tak hoga fir us se ye sab kuch leliya jaa yegaa jub woh ye sabhi cheezon ko apne peeth ke peche rakh degaa aur talwaar lekar apne padosi ko SHIRK ka fatwa degaa. Sahaba ne arz ki in mein se Shirk ka haqdar kon hoga Nabi kareem sualalahualaihewasallam ne farmaya woh jisne Shirk ka fatwa diya (Yaani ke padosi nahi bulke woh jisne padosi ko Mushrik kaha) Ye sabhi hadees bilkul sahi hai aur ye Wahabaiyon ke zubaan se bhi nikala hai ke ye sabhi hadees sahi hai. Is hadees se ye pata chala le dusron ko mushrik kehna galat hai aur ye ho sakta hai ke dusron ko mushrik kehne se khud woh log hi mushrik na ban jayae - For More Info Vesit Here. ghulshan-e-raza.blogspot.in/
Posted on: Thu, 24 Oct 2013 09:07:41 +0000

Trending Topics



b>
ok folks heres another southern family fave.called Chicken
Order K&N Performance Intake Kit - 57-0297 for Sale @ Best Prices!
Its Official ! Veteran Actor,

Recently Viewed Topics




© 2015