Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye Akbat bhi - TopicsExpress



          

Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye Akbat bhi sanwar jaye gi, yeh fariza aada kijiye. Lakh sajde kiye jaye, phir bhi bakhsish na ho paye gi Yeh Muhammad ka farman hai, in kay ghar say wafa kijiye. Mar bhi jayein to martay nahin, hum to kasrat say darte nahin Kufr hai agar wilaye Ali, hum ko kafir kaha kijiye. Dar pay aa ker yeh Shabir kay, aik rahib nay ki iltaja Main sawali houn Shah e Zaman, mujko baitay aata kijiye. Bughz e Haider hai bugz e Nabi, yeh najasat hai sab say bari Jo Ali say adawat rakhay, dur us say raha kijiye. Do fariqain main aik hi, haq pay hota hai aie dosto Koun Jang e Jamal main magar, haq pay tha faisla kijiye. Ya Ali mukhtar hain, anbiya ke madad gar hain Jitnay momin hain uqda kusha, unki hajat rawan kijiye. Aal e Ahmed kay zakir muhib, zikr ghairoon ka kertay nahin App shayer hain Imran ke, maqabat he likha kijiye. Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye Aaqbat bhi sanwar jaye gi, yeh fariza aada kijiye.
Posted on: Sun, 28 Jul 2013 02:30:23 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015