aaj hamara country ka feku jaise politician atmosphere kharab - TopicsExpress



          

aaj hamara country ka feku jaise politician atmosphere kharab karke Hindu Vs Muslim banakar"Divide N Rule"policy k tahat apna ullau sidha karna chahte hein lakin aise loog shayad mulk ki Tehzeeb-O-tamdun,Ganga Jumni riwayat & History se ya to waqif nahin hein ya Ostrich ki tarah dust mei apna face chhupa kar reality se moh mod rehe hein,hamari history mei aise beshumaar examples hein jo communal thinking pe zabardast waar karte hein jaise........Nawab Sirajudullh ko agar Plassey k maidan mei Seth Ammechand & Meer Jafar jaise ghaddaro ki wajah se shikast mili to Nawab Sirajudullh k close friend Raja Mohan Lal & General Meer Madan ne Nawab ka pora sath diya,isi tarah Tipu Sultan k darbar mei bhi PM Pandit Purniya & CM Krishna Rao mojood the( yeh alag baat hai k yeh loog Tipu k dushmano se ja mile the) 10 May 1857 ko First freedom struggle ki pehli chingari ko hawa dene walo 85 Desi Soldiers mei se 52 Muslims aur 43 Hindu the,Last Mughal Bahadur Shah Zafar k Private Secretary "Mukund" to Peshwa Nana Sb k right hand Azizmullah the,Rani Luxmi Bai k Canon Incharge Ghause Khan,Resaledaar Kale Khan,Tehsildaar Mohammad Hussain,Colonel Khuda Baksh & Zama khan the sath hi 1000 arabi soldiers ki ek brigade bhi Rani k daste mei shamil thi,Awadh ki Begum Hazarth Mahal k PM Raja Bal Krishna Rao,Rao Ram Baksh Singh,Chanda Singh Gulab Singh & Hanumant singh ne British k against battlefield mei Begum k qadam se qadam milakar chale,British Historian Sir John Cave k according"Ganga k paar hi nahin balke Ganga Jumna k darmiyani public bigad khadi hui,jald hi Hindu ya Musalmaan ek bhi aadmi na bachha,jo hamare against na ho gaya ho"Angrezo k khilaff Guerrilla fight mei tatya Tope k sath Mughal Shahzada Firoz Shah bhi pesh pesh the.Azad Hind ki pehli temporary govt Dec.1915 mei Afganistan mei bani thi,jis k President Raja Mahendra Pratap,Prime Minister Barkat ullah aur Home minister Obebdh Ullah banaye gaye the,Neta Ji Subash Chandra bose ki leadership mei General Shah Nawaz,M.Z.Kiyani aur Habib ur Rehman ete.jaise beloose watan parsth khade the,sath Neta ji ki Armed Force mei four Hindu & four Muslim Representative bhi the, Jai Hind ka Slogan dene Abid Hasan aur Inquilaab Zindabad ka nare aur Complete Independence ki sabse pehle demand karne wale Hasrath Mohani ko faramosh karna mushkil hai.Kakori Case k Hero Ram Prasad Bismil Ashfaq Ullah ko kaun bhool sakta hai...yeh to chand aise waqayat hein jinse hamie Qaumi Ekta ka lesson milta hai,warna pori tareekh-e-Hind aise waaqayat bhare pade hein Kuch Baat hai k hasti mitti nahin hamari Sadiyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara
Posted on: Tue, 16 Jul 2013 09:23:07 +0000

Trending Topics



div>

Recently Viewed Topics




© 2015