apne ko dekhtaa nahi’N zauq-e-sitam ko dekh aayinah taa keh - TopicsExpress



          

apne ko dekhtaa nahi’N zauq-e-sitam ko dekh aayinah taa keh deedah-e-naKHcheer se nah ho اپنے کو دیکھتا نہیں ذوقِ ستم کو دیکھ آئینہ تا کہ دیدۂ نخچیر سے نہ ہو अपने को देखता नहीं ज़ौक़-ए सितम को देख आईना ता के दीदह-ए नख़चीर से न हो deedah = eye nakhcheer = hunted animal, prey mehboob ki sitam-pasandi ki taraf ishaara hai ke woh aayine mein dekh kar khud ko sanwaara nahin karti. apne shikaar ki aankhon ko aayinah banaa kar, us mein apna aks dekh kar, araaish ke liye taiyaar hoti hai Taakeh un ke shikaar mein agarcheh kuchh jaan baaqi bhi bachi ho to woh un ke jalwon ko dekh kar jaati rahe. Aur jaan chali jaaye to sanwarna aur aasaan ho jaata hai kyunke marne ke baad aankhein bilkul saakin ho jaati hai. The couplet exhibits the beloveds relish for turture. She never uses a mirror to adorn herself. Rather she looks in the eye of her victim or prey and uses his eye as a mirror to beautify herself. If there is a little life still left in her prey, it would flee at the sight of her beauty, and a still eye is a better mirror still. **posted by Babar Imam**
Posted on: Sun, 13 Jul 2014 06:09:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015