awesome....... Wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhen yaad ho - TopicsExpress



          

awesome....... Wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho wohi yani wada nibah ka tumhen yaad ho ke na yaad ho wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ke hikayaten wo har ek baat pe ruthana tumhen yaad ho ke na yaad ho koi baat aisi agar hui jo tumhare jee ko buri lagi to bayan se pahale hi bhulana tumhen yaad ho ke na yaad ho suno zikr hai kai saal ka, koi wada mujh se tha aap ka wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yaad ho ke na yaad ho kabhi hum mein tum mein bhi chah thi, kabhi hum se tum se bhi reh thi kabhi hum bhi tum bhi the aashna, tumhen yaad ho ke na yaad ho hue ittefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yaad ho ke na yaad ho wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam ke hath mere hath par mujhe sab hain yaad zara zara, tumhen yaad no ki na yaad ho kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu wo bayan shauq ka baramala tumhen yaad ho ki na yaad ho wo bigadana vasl ke raat ka, wo na manana kisi baat ka wo nahiin nahi ke har aan ada, tumhen yaad ho ki na yaad ho jise aap ginte the aashna jise aap kahate the bavafa main wohi hun “momin”-e-mubtala tumhen yaad ho ke na yaad ho
Posted on: Mon, 18 Nov 2013 17:27:05 +0000

Trending Topics



;">
Scriptural Luminous Mystery of the Most Holy Rosary + In the
rning With $1 Which
TIPS TO BE GOOD LOOKING: FOR LOVELY EYES- Always look at the good

Recently Viewed Topics




© 2015