bharat ki arth dasha (economical position) aur nagrik sahyog , - TopicsExpress



          

bharat ki arth dasha (economical position) aur nagrik sahyog , suvidhayen mujhe nahi lagta ki kabhi bhi mazboot ho payegi ... dekhiye hum jinke bharose nischint ho kar baithe ya soye hain asal me wo is kabeel hi nahi ki lambi soch soch saken ya desh ko sambhal sake ... ab aap kahiyega ki mai aisa kis aadhar (base) par kah raha hun TO aap khud hi jaan lijiye ... DEKHIYE koi bhi pariwar ya desh tab sahi chal sakta hai ya chalta hai jab use chalane wala yogya ho aur system, kanoon bhi sahi hon ... aur is desh ki baag dor jinke inke paas hai un sabon me ye dono hi gun nahi hai ..... agar hota to kya inhen nahi pata ki hamare desh me bahot si chizen (system & law ) itni purani ho gai hai ki uski murammat (reapairing) karni jaruri hi nahi BAHOT BAHOT jaruri bhi hai ... LEKIN ... hum ya wo karna hi nahi chahte kyonki us kamiyon k fayede se hi to unka sara saamrajya kaayam hai . ek choti si hi baat dekhiye ki hamare desh k paise kaha barbaad hote hain (barbaad to desh aur desh ki aarthik aadhar ho raha hai ye to AABAAD hote ja rahe hain ) ye log pahle sadak (road) banate hai aur kuch dinon baad hi SIVRESE banane lag jate hai . yani road , gali banane me jo paise lage hain wo BEKAAR . aur isi tarah pahle sadak fir over bridg yani inhen itna hi nahi pata lagta ki hamare desh ki arth dash kaise bachi rah sakti hai aur agar ye desh ka jab sochte hi nahi to ye hum kaise maan len ki ye samaz ya desh sewak hain AUR hum inhe hi mauka de dete hain aur fir ye apni manmarzi karte chale jate hain ... AUR sabse dukh aur hairani ki baat ye hai ki hum aur hamare desh ki janta kuch bolti hi nahi KYONKI desh ki janta ko ye dukhi hi itna kar k rakkhe hain ki wo apni ROTI , PAANI ya PARIWAAR me hi fasa rahe aur kisi k paas itna time hi bache ki wo un se koi bhi sawal puch saken aur unhen jabab dena pade .... DEKHIYE sahi niyam to ye hona chahiye hamare desh me ki pahle hame PLANNING karni chahiye FIR koi bhi kaam ya KHARCH lekin yaha ULTA hai pahle kharch (kaam) fir planning jis se desh ka nuksaan aur inki jeben bhar jaye ..... likhne ko to bahot kuch hai lekin mai kitna likhun ... is liye mai to ye hi andaza laga chuka hun ki hamare bharat ki SUKHI aur SAMPANN hone me kam se kam 1000 years to chahiye hi tab tak ye hi sab kuch hain aur koi nahi aur inke baad apni jeben bharne k liye inki aane wali pidhi ..... hum ya aap bol bhi nahi sakte na rok sakte hain apne desh ko barbaad hone se ..... bahot hi dukhi hirdaye k sath ..... aapka ....... rOn ...
Posted on: Sun, 17 Nov 2013 11:12:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015