juma ki takreer me imam sahab ne kaha- musa (a.s.) ke jamane me ek - TopicsExpress



          

juma ki takreer me imam sahab ne kaha- musa (a.s.) ke jamane me ek admi ka intekal ho gaya. Jo ki na roza aur na namaz ka paband tha. Logo ko khub satata tha. Musa(a.s) ne uski namaze zanaza nahi padai aur na hi kafan dia kyuki oh sariat ka paband na tha. Usko logon ne ese hi gadh dia. Jab musa(a.s) tur par gaye to allah ne kaha ye musa tum ne ye kya kia, tumne mere chahite bande ki namaze zanaza kyun nahi padai . To musa (a.s) pharmate he kaun banda . Allah ne pharmaya wahi jiski tumne aaj namaze zanana nahi padai. Jao use nikalo aur pure kafan ke sath uski namaze zanaza padao. Allah ke pharman ke mutabik musa (a.s) ne zanaze ki namaz padai aur phir tur par wapas aye. Allah se sawal kia ke ye to nafarman tha ye chahita kaisa. Allah ke kaha suno e injill to nahi padta tha lekin kitab khol kar mere akhri nabi mohammad(salallahoalihiwasalam) ka naam jab dekhta to injill uthata aur use chum liya karta tha. Islie mene bhi iski sari khatae bakhs di aur jannat me jaga ata kar di.
Posted on: Fri, 05 Jul 2013 10:59:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015