kabhi ankho me hai annshu, kabhi dil ro raha hai.... na jane aaj phir kyo maan udaas ho raha hai... gahrahiyo me dub kar samjha rahe hai dil ko.... par ye dil na-samaj hai,kuch maanta nahi hai... kabhi yaad aarahi hai , maa ke aachal ki yo chaya... kabhi pita ki ungliyo ko pakar kar thumakna.. kabhi bhai-bahno ki yo baate, jo dil ko chu jati thi... kabhi dosto ke sang ganto bitaye raate... main janta hu ki bura wqat chal raha hai. ye wqat ka takaluf hi tanha bana raha hai... gahrahiyo me dub kar ye samjha raha hu dil ko. par ye dil na-samaj hai, kuch maanta nahi hai..
Posted on: Fri, 26 Jul 2013 12:17:29 +0000