kaho mujh sy muhabbat hai Mohabat ki tabiyat mein yeh kaisa - TopicsExpress



          

kaho mujh sy muhabbat hai Mohabat ki tabiyat mein yeh kaisa bachpana qudrat ny rakha hai Kh yh jitnii puranii jitnii bhi mazbot ho jay Isay taieed e tazaa ki zarorat phr bhi rehti hay Yaqin ki akhri hadoon tak diloon mein lehlahatii ho Nigahon sy tapakti ho laho mein jagmagatii ho Hazaroon tarh ky dilkash haseen halay banatii ho esy izhar ky lafzon ki hajat phr bhi rehti hai Mohabat mangtii hai yon gawahii apny hony ki Kh jaisay tefl e sadah sham ko ek beij boay Aur shab mein baarhaa uthay,Zameen ko khood kr dekhay kh poda ab kahan tak hai? Mohabat ki tabiyat mein ajab takrar ki khoo hai Keh yh iqrar ky lafzon ko sun’nay sy nahi thakti Becharnaay ki ghari ho ya koi milny ki saat ho Esy bas aik hi dhun hai Kaho mujh sy mohabat hai, Kaho mujh sy mohabat hai Tumhain mujh sy mohabat hai Samandar sy kahien gehri,sitaroon sy siwa roshan hawaon ki terh daaim, Paharon ki terah qaaim Zameen say aasman tak jis qadar achay nazaray hain Mohabat ky kanaay hain wafa kay esta’aray hain hamary hain Hamary wasty yh chandni ratain sanwertii hain,sunehraa din nikalta hai Mohabat jis tarf jay zamana sath chalta hai Kuch aisi besakonii hai wafa ki sar zamenoon main kh Jo ehl e mohabat ko sada bechain rakhtii hai Kh jaisy phol main khushbo, Kh jaisy hath main paraa Kh jaisy sham ka tara Mohabat karny waloon ki sehar ratoon main rehti hai Gumaan ky shakhchoon main aashiyaan banta hai ulfat ka Yh aien wisl mein bhi hijr ky khadshon mein rehti hai Mohabat ky musafirr zindagi jab kaat chukty hain Thakan ki kirchiyaan chuntay wafa ki ajrakain pehny Samy ki rahguzar ki aakhrii sarhad py rukty hain To koi tobti sanson ki dori tham kar Dhery sy kehta hai,Yeh sach hai na? Hamari zindage ek dosry ky nam likhi the Dhundalka saa jo aankhoon ky qareb o dur phela hai Esi ka nam chahaat hai Tumhain mujh sy mohabat thi,Tumhain mujh sy mohabat hai, Mohabat ki tabiyat mein yeh kaisa bachpana qudrat ny rakha hai
Posted on: Sun, 29 Sep 2013 11:11:55 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015