kamal e zabt ko main khud hi azmaun gi main khud apnay hathon - TopicsExpress



          

kamal e zabt ko main khud hi azmaun gi main khud apnay hathon uski dulhan ko sajaun gi supurd kar k usay chandni k main apnay ghar k andhero main kho jaun gi badan k karb ko kabhi samajh na paye ga main dil main roun gi ankho main muskuraun gi wo kia gaya rafaqaton k saray lutf gaye main kis se rooth sakun gi kisay manaun gi ab uska fun to kisi or se hua mansoob main kis ki nazm akelay main gungunaun gi wo ek rishta be nam bhi nahin lekin main ab bhi us k isharo per sar jhukaun gi bujha dia tha gulabo k saath apna wajood wo so k uthay to khuabon ki raakh uthaun gi sama`ato main ghanay janglo ki saansain hain main ab kabhi tri awaz sun na paun gi jawaz dhoond raha tha nai muhabat ka wo keh raha tha k mian usko bhool jaun gi
Posted on: Wed, 28 Aug 2013 08:02:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015