kaun kehta hai ke maut aai to mar jaaunga main to daryaa hun, - TopicsExpress



          

kaun kehta hai ke maut aai to mar jaaunga main to daryaa hun, samandar mein uttar jaaunga tera dar chhod ke main aur kidhar jaaunga ghar mein ghir jaaunga, sehraa mein bikhar jaaunga tere pehlu se jo uthunga to mushkil ye hai sirf ik shakhs ko paaunga jidhar jaaunga ab tere shehr mein aaunga musaafir ki tarah saaya-e-abr ki maanind guzar jaaunga tera paimaan-e-vafaa raah ki deevaar bana varna socha tha ke jab chaahunga marr jaaunga chaara-saazon se alag hai mera mayyaar ke main zakhm khaaunga to kuch aur sanwar jaaunga zindagi shamma ki maanind jalaata hun Nadeem bujh to jaaunga magar sehr to kar jaaunga!!
Posted on: Tue, 04 Mar 2014 19:12:03 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015