kber Hussainiat ka Haqeqi Waqar hai!" Akber shabab husn payambar - TopicsExpress



          

kber Hussainiat ka Haqeqi Waqar hai!" Akber shabab husn payambar ka naam hai Akber jalal jazba haider ka naam hai Akber urooj mehar munnawar ka naam hai Akber hussainiat ke muqaddar ka naam hai Fursat mile to pooch bashar ke sakoon se Islam surkhuro huwa akber ke khoonse Akber alif se aman azal ki atal azan Aur kaaf kibriya ke karam ki hia kehkashan ``be``barg-o-bar bakht bashar ki bulandiyan ``re``rab rang-o-rahat-o-rafiat rais jaan akber ke dam se noor ki kismat rawan hoi akber ka naam le ke shariat jawan hoi akber ki dastaras mein jawani ki saltanat akber ki girdpa hai salatain ki tamkanat akber ki zer-e-saaya malaik ki manzilat akber ki khal-o-khad ke fazail hain an-ginat dekhi thi ik kiran jo azal ke gilaf mein yousuf ka husn maho hai abb tak tawaf mein chehra hai ya fasahat-e-aayat-mursalin ankhen hain ya tassawur wehdat ke 2 nagin abro misal-e-manzil meraj-e-fiqar-e-din saaya badan ka hai ke yeh kaaba ki sar-zamin akber ki sans aks gar-moj noor hai akber ke gaisoon ki jhalak koh-e-tor hai jaise hai roshni mae-o-akhtar ke saath saath jis tarah nikhatein hian gul tar ke saath saath jaise urooj nutq,sukhanwar ke saath saath shabbir yun hai ajj bhi akber ke saathsaath in ke bagair din mein zayan hia na sood hai shabbir hai namaz to akber durood hai!!!!!! Akber ki khamoshi hai fasahat kalam ki Akber ki har ada hia ilamat dawam ki Akber mein tarbiyat hai shaur imam ki Dunya mein abb bhi dhoom hai akberke naam ki Badal hai ya gilaf shabih-e-rasoolhai Yeh dhoop hai ke daman-e-akber ki dhool hia Akber,hujoom-e-gham mein tabassum ka asman Akber shab-e-seh ki jigar mein kiran kamal Akber,duae sani-e-zehra ka karwan Akber ki teg,dushman din per sharar rafsan Laila ki arzoo ke chaman ka nikhar hai Akber hussainiat ka haqeqi waqar hai!!!!
Posted on: Thu, 20 Jun 2013 09:48:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015