kitne tum anupam ,ati sundar ,madhur ,manohar ho pyare ! sudha - TopicsExpress



          

kitne tum anupam ,ati sundar ,madhur ,manohar ho pyare ! sudha anant poorn ,madhumay tum sabke jeevan -dhan pyare 1 tumhin viswmay ,sabhi wisw ke jad -chetan tum mein ,pyare ! ek -ek anu akhil jagat kaa sana tumhin se hai pyare !! atul aseem -appar tumhara hai aishwarya param pyare ! dev -danuj -muni-manuj charan -raj sada chahte hain pyare !! par naa unhein dete kadapi tum ,hare sabhi nitya pyare ! sarv -rahit sarveshwar wah tum tyag mahatta sab pyare ! jaag rahe ho nitya nibhritt mam hriday -kunj mein he pyare ! ho adhere ,ati wirahkul pranon se ter rahe pyare !! fansi sada main wibidh karm-bhogon ,janjalon mein pyare !! mujh durguni ,kurupa par ho kaise reejh gaye pyare !! kya such tum pate mujhse ,main samjh naa pati kuch pyare !! apne manki tumhin jante ,nahin batate par pyare !! keval wiwash hue rahte ho ,tulna nahin ,kahin pyare !! jay shree krishna... Sushil tatwal
Posted on: Wed, 31 Jul 2013 08:34:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015