maine dekha tha un dino mien usse jab wo khiltay gulab jesa tha - TopicsExpress



          

maine dekha tha un dino mien usse jab wo khiltay gulab jesa tha uski palkoon se neend chanti thi us ka lahja sharab jesa tha us ki zulfoon se bhegti thi ghatta us ka rukh mahtaab jesa tha log parhtay thay khal o khad us ke wo adab ki kitab jesa tha bolta tha zaban khushbu ki log suntay thay dharkanooon mien usse mien dekha tha un dino mien usse sari ankhien thein aainay uske saray chahroon mien intekhab tha wo ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo sab se ghul mil ker ajnabi rahna ek dariya numa serab tha wo meri neendien bhi uski nazr hoein meine paya tha ratjagoon mein usse meine dekha tha un dino mien usse jab wo hans hans ke raat karta tha dil ke khemay mein raat karta tha rang parhtay thay aanchaloon mien usse miene dekha tha un dino mien usse ye magar daer ki kahani hai ye magar daer ka fasana hai abh us ke aur mere milaap ke haail sadiyon bhara zamana hai abh ke haal apna bhi dasht e hijra ki shaam jesa hai najanay in dino wo kesa hoga?? men dekha tha un dino mein usse
Posted on: Sun, 06 Oct 2013 08:24:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015